maana bahut hi khoob hai manzil wahan ki par
us raah se guzar ke lahu kyun karoon jigar
raftaar to bahut hai magar daudta nahin
le kar ke ik चराग़,है karna mujhe safar
ye rail bhi kahaan yun hi chalti rahegi yaar
tum bhi bichhad hi jaaoge agle padaav par
ye raaste na kam mujhe padne lage kahi
ye soch kar bhi main nahi hota hoon dar b dar
maaloom hai ki farq to padta nahin use
main ro pada hoon haal bataate hue magar
apna samajh ke chhod diya ik hujoom ne
haathon mein mere door se patthar ko dekh kar
माना बहुत ही ख़ूब है मंज़िल वहाँ की पर
उस राह से गुज़र के लहू क्यों करूँ जिगर
रफ़्तार तो बहुत है मगर दौड़ता नहीं
ले कर के इक चराग़,है करना मुझे सफ़र
ये रेल भी कहाँ यूँ ही चलती रहेगी यार
तुम भी बिछड़ ही जाओगे अगले पड़ाव पर
ये रास्ते न कम मुझे पड़ने लगे कहीं
ये सोच कर भी मैं नही होता हूँ दर ब दर
मालूम है कि फ़र्क़ तो पड़ता नहीं उसे
मैं रो पड़ा हूँ हाल बताते हुए मगर
अपना समझ के छोड़ दिया इक हुजूम ने
हाथों में मेरे दूर से पत्थर को देख कर
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Arjun Dubey Ashk
our suggestion based on Arjun Dubey Ashk
As you were reading Dar Shayari Shayari