baithna saahil pe dariya ki rawaani dekhna
aur khaali waqt mein filmein puraani dekhna
dekhna chaaho udaasi mein shajar doobe hue
tum parindon ki kabhi naql-e-makaani dekhna
intihaai sukh kinhin aankhon mein mere khwaab hon
intihaai dukh unhin aankhon mein paani dekhna
roz so jaana falak ki vusa'ton ko odh kar
roz khwaabon mein zameen ki be-karaani dekhna
tay hua hai aayega vo milne aadhi raat ko
neem shab mein aap noor-e-kahkashaani dekhna
बैठना साहिल पे दरिया की रवानी देखना
और ख़ाली वक़्त में फिल्में पुरानी देखना
देखना चाहो उदासी में शजर डूबे हुए
तुम परिंदों की कभी नक़्ल-ए-मकानी देखना
इंतिहाई सुख किन्हीं आँखों में मेरे ख़्वाब हों
इंतिहाई दुख उन्हीं आँखों में पानी देखना
रोज़ सो जाना फ़लक की वुसअ'तों को ओढ़ कर
रोज़ ख़्वाबों में ज़मीं की बे-करानी देखना
तय हुआ है आएगा वो मिलने आधी रात को
नीम शब में आप नूर-ए-कहकशानी देखना
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ashu Mishra
our suggestion based on Ashu Mishra
As you were reading Nigaah Shayari Shayari