koi aa kar nahin jaata dilon ke aashiyanoon se
rihaai ka koi rasta nahin in qaid-khaanon se
zameen waalon ne jab se aasmaan ki or dekha hai
parinde khauf khaane lag gaye unchi uraano se
machere kashtiyon mein baith kar ke ga rahe hain geet
hawaaein muskuraa kar mil rahi hain baadbaanon se
ye sukhe zakham hain ya rang hain tasveer maazi ke
mujhe guzre zamaane yaad aaye in nishaanon se
hamein apni ladai is zameen par khud hi ladni hai
farishte to nahin aane yahan par aasmaanon se
tumhaara dil yahan par kho gaya to kaisi hairat hai
bareli mein to jhumke tak nikal jaate hain kaanon se
कोई आ कर नहीं जाता दिलों के आशियानों से
रिहाई का कोई रस्ता नहीं इन क़ैद-ख़ानों से
ज़मीं वालों ने जब से आसमाँ की ओर देखा है
परिंदे ख़ौफ़ खाने लग गए ऊँची उड़ानों से
मछेरे कश्तियों में बैठ कर के गा रहे हैं गीत
हवाएँ मुस्कुरा कर मिल रही हैं बादबानों से
ये सूखे ज़ख़्म हैं या रंग हैं तस्वीर माज़ी के
मुझे गुज़रे ज़माने याद आए इन निशानों से
हमें अपनी लड़ाई इस ज़मीं पर ख़ुद ही लड़नी है
फ़रिश्ते तो नहीं आने यहाँ पर आसमानों से
तुम्हारा दिल यहाँ पर खो गया तो कैसी हैरत है
बरेली में तो झुमके तक निकल जाते हैं कानों से
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ashu Mishra
our suggestion based on Ashu Mishra
As you were reading Aasman Shayari Shayari