main aahen bhar nahin saka ki nagme ga nahin saka
sakoon lekin mere dil ko mayassar aa nahin saka
koi nagme to kya ab mujh se mera saaz bhi le le
jo gaana chahta hoon aah vo main ga nahin saka
mata-e-soz-o-saaz-e-zindagi paimaana o barbat
main khud ko in khilauno se bhi ab bahla nahin saka
vo baadal sar pe chhaaye hain ki sar se hat nahin sakte
mila hai dard vo dil ko ki dil se ja nahin saka
havas-kaari hai jurm-e-khud-kushi meri shari'at mein
ye hadd-e-aakhiri hai main yahan tak ja nahin saka
na toofaan rok sakte hain na aandhi rok sakti hai
magar phir bhi main us qasr-e-haseen tak ja nahin saka
vo mujh ko chahti hai aur mujh tak aa nahin sakti
main us ko poojta hoon aur us ko pa nahin saka
ye majboori si majboori ye laachaari si laachaari
ki us ke geet bhi dil khol kar main ga nahin saka
zabaan par be-khudi mein naam us ka aa hi jaata hai
agar pooche koi ye kaun hai batla nahin saka
kahaan tak qiss-e-aalam-e-furqat mukhtasar ye hai
yahan vo aa nahin sakti wahan main ja nahin saka
hadein vo kheench rakhi hain haram ke paasbaanon ne
ki bin mujrim bane paighaam bhi pahuncha nahin saka
मैं आहें भर नहीं सकता कि नग़्मे गा नहीं सकता
सकूँ लेकिन मिरे दिल को मयस्सर आ नहीं सकता
कोई नग़्मे तो क्या अब मुझ से मेरा साज़ भी ले ले
जो गाना चाहता हूँ आह वो मैं गा नहीं सकता
मता-ए-सोज़-ओ-साज़-ए-ज़िंदगी पैमाना ओ बरबत
मैं ख़ुद को इन खिलौनों से भी अब बहला नहीं सकता
वो बादल सर पे छाए हैं कि सर से हट नहीं सकते
मिला है दर्द वो दिल को कि दिल से जा नहीं सकता
हवस-कारी है जुर्म-ए-ख़ुद-कुशी मेरी शरीअ'त में
ये हद्द-ए-आख़िरी है मैं यहाँ तक जा नहीं सकता
न तूफ़ाँ रोक सकते हैं न आँधी रोक सकती है
मगर फिर भी मैं उस क़स्र-ए-हसीं तक जा नहीं सकता
वो मुझ को चाहती है और मुझ तक आ नहीं सकती
मैं उस को पूजता हूँ और उस को पा नहीं सकता
ये मजबूरी सी मजबूरी ये लाचारी सी लाचारी
कि उस के गीत भी दिल खोल कर मैं गा नहीं सकता
ज़बाँ पर बे-ख़ुदी में नाम उस का आ ही जाता है
अगर पूछे कोई ये कौन है बतला नहीं सकता
कहाँ तक क़िस्स-ए-आलाम-ए-फ़ुर्क़त मुख़्तसर ये है
यहाँ वो आ नहीं सकती वहाँ मैं जा नहीं सकता
हदें वो खींच रक्खी हैं हरम के पासबानों ने
कि बिन मुजरिम बने पैग़ाम भी पहुँचा नहीं सकता
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Asrar Ul Haq Majaz
our suggestion based on Asrar Ul Haq Majaz
As you were reading Dil Shayari Shayari