main apne haath se khud ka hi khud se naas kar aaya | मैं अपने हाथ से ख़ुद का ही ख़ुद से नास कर आया - ABHISHEK RANJAN

main apne haath se khud ka hi khud se naas kar aaya
mili thi manzilen mujhko usi ko paas kar aaya

koii mera nahin hai main kisi ka bhi nahin ab to
haan dil kii raajdhaani mein naya itihaas kar aaya

chalo tum chhod do mujhko naya saahil banaana hai
mujhe azaad karna tha so main bakwaas kar aaya

kai dhun baj rahi thi par dilon ka saaj ghaaeb tha
bichadna tay hai yah maano tabhi ehsaas kar aaya

saji thi doli bhi uski wahi mera janaaza tha
wahi manzar tha jeevan ka main khud ko yaas kar aaya

मैं अपने हाथ से ख़ुद का ही ख़ुद से नास कर आया
मिली थी मंज़िलें मुझको उसी को पास कर आया

कोई मेरा नहीं है मैं किसी का भी नहीं अब तो
हाँ दिल की राजधानी में नया इतिहास कर आया

चलो तुम छोड़ दो मुझको नया साहिल बनाना है
मुझे आज़ाद करना था सो मैं बकवास कर आया

कई धुन बज रही थी पर दिलों का साज ग़ाएब था
बिछड़ना तय है यह मानो तभी एहसास कर आया

सजी थी डोली भी उसकी वही मेरा जनाज़ा था
वही मंजर था जीवन का मैं ख़ुद को यास कर आया

- ABHISHEK RANJAN
1 Like

Dil Shayari

Our suggestion based on your choice

More by ABHISHEK RANJAN

As you were reading Shayari by ABHISHEK RANJAN

Similar Writers

our suggestion based on ABHISHEK RANJAN

Similar Moods

As you were reading Dil Shayari Shayari