viraasat mein mili tahzeeb ka yun maan rakhta hoon
main mazhab se ziyaada dil mein hindustan rakhta hoon
muhabbat aur nafrat jo bhi chaahoge milega vo
chiraagon ki hifazat mein kai toofaan rakhta hoon
panpati saajishein hain jismein apnon ke liye akshar
main vo kunj-e-jigar jassar sada veeraan rakhta hoon
विरासत में मिली तहज़ीब का यूँ मान रखता हूँ
मैं मज़हब से ज़ियादा दिल में हिन्दुस्तान रखता हूँ
मुहब्बत और नफ़रत जो भी चाहोगे मिलेगा वो
चिराग़ों की हिफ़ाज़त में कई तूफ़ान रखता हूँ
पनपती साजिशें हैं जिसमें अपनों के लिए अक्सर
मैं वो कुंज-ए-जिगर “जस्सर” सदा वीरान रखता हूँ
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Avtar Singh Jasser
our suggestion based on Avtar Singh Jasser
As you were reading Nafrat Shayari Shayari