deewarein chhoti hoti theen lekin parda hota tha | दीवारें छोटी होती थीं लेकिन पर्दा होता था

  - Azhar Faragh

deewarein chhoti hoti theen lekin parda hota tha
taale ki ijaad se pehle sirf bharosa hota tha

kabhi kabhi aati thi pehle vasl ki lazzat andar tak
baarish tirchi padti thi to kamra geela hota tha

shukr karo tum is basti mein bhi school khula warna
mar jaane ke ba'ad kisi ka sapna poora hota tha

jab tak maatha choom ke ruksat karne waali zinda thi
darwaaze ke baahar tak bhi munh mein lukma hota tha

bhale zamaane the jab sher sahoolat se ho jaate the
naye sukhun ke naam pe azhar meer ka charba hota tha

दीवारें छोटी होती थीं लेकिन पर्दा होता था
ताले की ईजाद से पहले सिर्फ़ भरोसा होता था

कभी कभी आती थी पहले वस्ल की लज़्ज़त अंदर तक
बारिश तिरछी पड़ती थी तो कमरा गीला होता था

शुक्र करो तुम इस बस्ती में भी स्कूल खुला वर्ना
मर जाने के बा'द किसी का सपना पूरा होता था

जब तक माथा चूम के रुख़्सत करने वाली ज़िंदा थी
दरवाज़े के बाहर तक भी मुँह में लुक़्मा होता था

भले ज़माने थे जब शे'र सुहूलत से हो जाते थे
नए सुख़न के नाम पे 'अज़हर' 'मीर' का चर्बा होता था

  - Azhar Faragh

Khwab Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Azhar Faragh

As you were reading Shayari by Azhar Faragh

Similar Writers

our suggestion based on Azhar Faragh

Similar Moods

As you were reading Khwab Shayari Shayari