aasmaan par kaale baadal chha gaye | आसमाँ पर काले बादल छा गए

  - Badr-e-Alam Khalish

aasmaan par kaale baadal chha gaye
ghar ke andar aaine dhundla gaye

kya gazab hai ek bhi koel nahin
sab bagiche aam ke manjara gaye

ghatte badhte faaslon ke darmiyaan
dafa'atan do raaste bal kha gaye

doobta hai aa ke suraj un ke paas
vo dariche mere dil ko bha gaye

shehar kya duniya badal kar dekh lo
phir kahoge ham to ab ukta gaye

saamne tha be-rukhi ka aasmaan
is liye waapas zameen par aa gaye

yaad aaya kuchh gira tha toot kar
be-khudi mein khud se kal takra gaye

hurmat-e-lauh-o-qalam jaati rahi
kis tarah ke log adab mein aa gaye

ham hain mujrim aap mulzim bhi nahin
aap kis anjaam se ghabra gaye

ho gai hai sho'la-zan har shaakh-e-gul
badh rahe the haath jo tharraa gaye

dhans gaye jo ruk gaye the raah mein
dekhte the mud ke jo pathra gaye

ghar ki tanhaai jab aangan ho gai
ye sitaare kya qayamat dhaa gaye

the mukhaatab jism lehje be-shumaar
jaan-balab armaan khalish ghazla gaye

आसमाँ पर काले बादल छा गए
घर के अंदर आइने धुँदला गए

क्या ग़ज़ब है एक भी कोयल नहीं
सब बग़ीचे आम के मंजरा गए

घटते बढ़ते फ़ासलों के दरमियाँ
दफ़अ'तन दो रास्ते बल खा गए

डूबता है आ के सूरज उन के पास
वो दरीचे मेरे दिल को भा गए

शहर क्या दुनिया बदल कर देख लो
फिर कहोगे हम तो अब उकता गए

सामने था बे-रुख़ी का आसमाँ
इस लिए वापस ज़मीं पर आ गए

याद आया कुछ गिरा था टूट कर
बे-ख़ुदी में ख़ुद से कल टकरा गए

हुर्मत-ए-लौह-ओ-क़लम जाती रही
किस तरह के लोग अदब में आ गए

हम हैं मुजरिम आप मुल्ज़िम भी नहीं
आप किस अंजाम से घबरा गए

हो गई है शो'ला-ज़न हर शाख़-ए-गुल
बढ़ रहे थे हाथ जो थर्रा गए

धँस गए जो रुक गए थे राह में
देखते थे मुड़ के जो पथरा गए

घर की तन्हाई जब आँगन हो गई
ये सितारे क्या क़यामत ढा गए

थे मुख़ातब जिस्म लहजे बे-शुमार
जाँ-बलब अरमाँ 'ख़लिश' ग़ज़ला गए

  - Badr-e-Alam Khalish

Haya Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Badr-e-Alam Khalish

As you were reading Shayari by Badr-e-Alam Khalish

Similar Writers

our suggestion based on Badr-e-Alam Khalish

Similar Moods

As you were reading Haya Shayari Shayari