qadmon se itna door kinaara kabhi na tha
na-qaabil-e-uboor ye dariya kabhi na tha
tum sa haseen in aankhon ne dekha kabhi na tha
lekin ye sach nahin koi tum sa kabhi na tha
hai zikr-e-yaar kyun shab-e-zindaan se door door
ai hum-nasheen ye tarz ghazal ka kabhi na tha
kamre mein dil ke us ke alaava koi nahin
hairaan hoon ki aisa andhera kabhi na tha
kis ne bisaat-e-behs ke mohre badal diye
tanhaa to tha vo pehle bhi goonga kabhi na tha
imroz-e-intizaar ka farda to kal bhi hai
andoh-e-imshabi ka savera kabhi na tha
har zehan mein hamesha sulagta hai ye sawaal
aakhir hua vo kyun jise hona kabhi na tha
deewaana tha bhatk gaya gum ho gaya hai qais
khaali magar kajaava-e-laila kabhi na tha
kal bhi isee dayaar mein tha raushni ka qahat
aisa magar charaagh ka dhanda kabhi na tha
pighli kuchh aur barf to ik aur shehr-e-khwaab
yun bah gaya nasheb mein goya kabhi na tha
barsa hai kis babool pe abr-e-bahaar-khez
itna haraa to zakhm-e-tamanna kabhi na tha
us ne bhi iltifaat se dekha tha kab khalish
main ne bhi us ke baare mein socha kabhi na tha
क़दमों से इतना दूर किनारा कभी न था
ना-क़ाबिल-ए-उबूर ये दरिया कभी न था
तुम सा हसीं इन आँखों ने देखा कभी न था
लेकिन ये सच नहीं कोई तुम सा कभी न था
है ज़िक्र-ए-यार क्यूँ शब-ए-ज़िंदाँ से दूर दूर
ऐ हम-नशीं ये तर्ज़ ग़ज़ल का कभी न था
कमरे में दिल के उस के अलावा कोई नहीं
हैरान हूँ कि ऐसा अँधेरा कभी न था
किस ने बिसात-ए-बहस के मोहरे बदल दिए
तन्हा तो था वो पहले भी गूँगा कभी न था
इमरोज़-ए-इंतिज़ार का फ़र्दा तो कल भी है
अंदोह-ए-इमशबी का सवेरा कभी न था
हर ज़ेहन में हमेशा सुलगता है ये सवाल
आख़िर हुआ वो क्यूँ जिसे होना कभी न था
दीवाना था भटक गया गुम हो गया है क़ैस
ख़ाली मगर कजावा-ए-लैला कभी न था
कल भी इसी दयार में था रौशनी का क़हत
ऐसा मगर चराग़ का धंदा कभी न था
पिघली कुछ और बर्फ़ तो इक और शहर-ए-ख़्वाब
यूँ बह गया नशेब में गोया कभी न था
बरसा है किस बबूल पे अब्र-ए-बहार-ख़ेज़
इतना हरा तो ज़ख़्म-ए-तमन्ना कभी न था
उस ने भी इल्तिफ़ात से देखा था कब 'ख़लिश'
मैं ने भी उस के बारे में सोचा कभी न था
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Badr-e-Alam Khalish
our suggestion based on Badr-e-Alam Khalish
As you were reading Bechaini Shayari Shayari