damak uthi hai fazaa mahtaab-e-khwab ke saath
dhadak raha hai ye dil kis rabaab-e-khwab ke saath
hate ghubaar jo lau se to meri jot jage
jaloon main phir se nayi aab-o-taab-e-khwab ke saath
hai sau adaaon se uryaan fareb-e-rang-e-ana
barhana hoti hai lekin hijaab-e-khwab ke saath
to kyun saza mein ho tanhaa gunaahgaar koi
yahan to jeete hain sab irtikaab-e-khwab ke saath
sharaar-e-sang se sanglaakh ho gaye talve
hua na kuchh dil-e-khaana-kharaab-e-khwab ke saath
sulaaye rakha hamein bhi fareb-e-manzil ne
chale the ham bhi kisi ham-rakaab-e-khwab ke saath
suraagh milta nahin pyaas ke safeenon ka
bhanwar bhi hote hain shaayad saraab-e-khwaab ke saath
haqeeqaton ki chataanon pe chal gaya jaadu
lo vo bhi chalne lagin ab sahaab-e-khwab ke saath
ajab nahin wahi manzar nazaara ban jaaye
dara raha hai ye dar iztiraab-e-khwab ke saath
daraadein rah gaeein bedaariyon ke naqshe par
na ham rahe na vo tum inqilaab-e-khwab ke saath
nigaah-e-deeda-e-ta'beer ke hawaale khalish
hai ye bayaaz alag intikhaab-e-khwab ke saath
दमक उठी है फ़ज़ा माहताब-ए-ख़्वाब के साथ
धड़क रहा है ये दिल किस रबाब-ए-ख़्वाब के साथ
हटे ग़ुबार जो लौ से तो मेरी जोत जगे
जलूँ मैं फिर से नई आब-ओ-ताब-ए-ख़्वाब के साथ
है सौ अदाओं से उर्यां फ़रेब-ए-रंग-ए-अना
बरहना होती है लेकिन हिजाब-ए-ख़्वाब के साथ
तो क्यूँ सज़ा में हो तन्हा गुनाहगार कोई
यहाँ तो जीते हैं सब इर्तिकाब-ए-ख़्वाब के साथ
शरार-ए-संग से संगलाख़ हो गए तलवे
हुआ न कुछ दिल-ए-ख़ाना-ख़राब-ए-ख़्वाब के साथ
सुलाये रक्खा हमें भी फ़रेब-ए-मंज़िल ने
चले थे हम भी किसी हम-रकाब-ए-ख़्वाब के साथ
सुराग़ मिलता नहीं प्यास के सफ़ीनों का
भँवर भी होते हैं शायद सराब-ए-ख़्वाब के साथ
हक़ीक़तों की चटानों पे चल गया जादू
लो वो भी चलने लगीं अब सहाब-ए-ख़्वाब के साथ
अजब नहीं वही मंज़र नज़ारा बन जाए
डरा रहा है ये डर इज़्तिराब-ए-ख़्वाब के साथ
दराड़ें रह गईं बेदारियों के नक़्शे पर
न हम रहे न वो तुम इंक़लाब-ए-ख़्वाब के साथ
निगाह-ए-दीदा-ए-ता'बीर के हवाले 'ख़लिश'
है ये बयाज़ अलग इंतिख़ाब-ए-ख़्वाब के साथ
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Badr-e-Alam Khalish
our suggestion based on Badr-e-Alam Khalish
As you were reading Dil Shayari Shayari