hai dil ko jo yaad aayi falak-e-peer kisi ki | है दिल को जो याद आई फ़लक-ए-पीर किसी की

  - Bahadur Shah Zafar

hai dil ko jo yaad aayi falak-e-peer kisi ki
aankhon ke tale phirti hai tasveer kisi ki

giryaa bhi hai naala bhi hai aur aah-o-fughaan bhi
par dil mein hui us ke na taaseer kisi ki

haath aaye hai kya khaak tire khaak-e-kaf-e-paa
jab tak ki na qismat mein ho ikseer kisi ki

yaaro vo hai bigda hua baatein na banaao
kuchh pesh nahin jaane ki taqreer kisi ki

naazaan na ho muna'im ki jahaan tera mahal hai
hovegi yahan pehle bhi ta'aamir kisi ki

meri girah-e-dil na khuli hai na khulegi
jab tak na khule zulf-e-girah-geer kisi ki

aata bhi agar hai to vo phir jaaye hai ulta
jis waqt ult jaaye hai taqdeer kisi ki

is abroo o mizgaan se zafar tez ziyaada
khanjar na kisi ka hai na shamsheer kisi ki

jo dil se udhar jaaye nazar dil ho girftaar
mujrim ho koi aur ho taqseer kisi ki

है दिल को जो याद आई फ़लक-ए-पीर किसी की
आँखों के तले फिरती है तस्वीर किसी की

गिर्या भी है नाला भी है और आह-ओ-फ़ुग़ाँ भी
पर दिल में हुई उस के न तासीर किसी की

हाथ आए है क्या ख़ाक तिरे ख़ाक-ए-कफ़-ए-पा
जब तक कि न क़िस्मत में हो इक्सीर किसी की

यारो वो है बिगड़ा हुआ बातें न बनाओ
कुछ पेश नहीं जाने की तक़रीर किसी की

नाज़ाँ न हो मुनइ'म कि जहाँ तेरा महल है
होवेगी यहाँ पहले भी ता'मीर किसी की

मेरी गिरह-ए-दिल न खुली है न खुलेगी
जब तक न खुले ज़ुल्फ़-ए-गिरह-गीर किसी की

आता भी अगर है तो वो फिर जाए है उल्टा
जिस वक़्त उलट जाए है तक़दीर किसी की

इस अबरू ओ मिज़्गाँ से 'ज़फ़र' तेज़ ज़ियादा
ख़ंजर न किसी का है न शमशीर किसी की

जो दिल से उधर जाए नज़र दिल हो गिरफ़्तार
मुजरिम हो कोई और हो तक़्सीर किसी की

  - Bahadur Shah Zafar

Chehra Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Bahadur Shah Zafar

As you were reading Shayari by Bahadur Shah Zafar

Similar Writers

our suggestion based on Bahadur Shah Zafar

Similar Moods

As you were reading Chehra Shayari Shayari