hawa ne saans liya tha | हवा ने साँस लिया था

  - Daniyal Tareer

hawa ne saans liya tha
abhi kahaani mein
falak ki aankh mein shole
abhi dahakte the
thakan ki gond ne chipka rakhe the
jism se par
shafaq ke lothade bikhre hue the
paani mein
namaaz-e-asr ada honi thi
hui ki nahin
parind jheel par utre
magar wazu na kiya

हवा ने साँस लिया था
अभी कहानी में
फ़लक की आँख में शोले
अभी दहकते थे
थकन की गोंद ने चिपका रखे थे
जिस्म से पर
शफ़क़ के लोथड़े बिखरे हुए थे
पानी में
नमाज़-ए-अस्र अदा होनी थी
हुई कि नहीं
परिंद झील पर उतरे
मगर वज़ू न किया

  - Daniyal Tareer

Jalwa Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Daniyal Tareer

As you were reading Shayari by Daniyal Tareer

Similar Writers

our suggestion based on Daniyal Tareer

Similar Moods

As you were reading Jalwa Shayari Shayari