khwaab-kaari wahi kamkhaab wahi hai ki nahin | ख़्वाब-कारी वही कमख़्वाब वही है कि नहीं

  - Daniyal Tareer

khwaab-kaari wahi kamkhaab wahi hai ki nahin
sher ka husn abd-taab wahi hai ki nahin

kya pari ko mujhe machhli mein badalna hoga
dekhne ke liye taalaab wahi hai ki nahin

main jahaan aaya tha pedon ki tilaavat karne
saamne qarya-e-shaadaab wahi hai ki nahin

aankh ko neend mein ma'aloom nahin ho saka
raat vo hai ki nahin khwaab wahi hai ki nahin

jis ko choone se mera jism chamak uthhega
dekh ye sheesha-e-mehtaab wahi hai ki nahin

ye kahaani ke alaav se churaai hui aag
mahv-e-hairat hai ki barfaab wahi hai ki nahin

sar jhukaane se jahaan ashk-e-tapaan jaaga tha
sochta hoon ki ye mehraab wahi hai ki nahin

ख़्वाब-कारी वही कमख़्वाब वही है कि नहीं
शेर का हुस्न अबद-ताब वही है कि नहीं

क्या परी को मुझे मछली में बदलना होगा
देखने के लिए तालाब वही है कि नहीं

मैं जहाँ आया था पेड़ों की तिलावत करने
सामने क़र्या-ए-शादाब वही है कि नहीं

आँख को नींद में मा'लूम नहीं हो सकता
रात वो है कि नहीं ख़्वाब वही है कि नहीं

जिस को छूने से मिरा जिस्म चमक उट्ठेगा
देख ये शीशा-ए-महताब वही है कि नहीं

ये कहानी के अलाव से चुराई हुई आग
महव-ए-हैरत है कि बर्फ़ाब वही है कि नहीं

सर झुकाने से जहाँ अश्क-ए-तपाँ जागा था
सोचता हूँ कि ये मेहराब वही है कि नहीं

  - Daniyal Tareer

Jalwa Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Daniyal Tareer

As you were reading Shayari by Daniyal Tareer

Similar Writers

our suggestion based on Daniyal Tareer

Similar Moods

As you were reading Jalwa Shayari Shayari