rah-e-ishq ki intiha chahta hoon | रह-ए-इश्क़ की इंतिहा चाहता हूँ

  - Darshan Singh

rah-e-ishq ki intiha chahta hoon
junoon sa koi rehnuma chahta hoon
jo irfaan ki zindagi ko badha de
main vo baada-e-jaan-faza chahta hoon
mita kar mujhe aayi main jazb kar le
baqa ke liye main fana chahta hoon
bayaan haal-e-dil main karoon kyun zabaan se
koi jaanta hai main kya chahta hoon
mujhe kya zaroorat hai kya tum se maanguun
magar main tumhaara bhala chahta hoon
mere chaaragar main hoon beemaar tera
tire haath hi shifaa chahta hoon

रह-ए-इश्क़ की इंतिहा चाहता हूँ
जुनूँ सा कोई रहनुमा चाहता हूँ
जो इरफ़ान की ज़िंदगी को बढ़ा दे
मैं वो बादा-ए-जाँ-फ़ज़ा चाहता हूँ
मिटा कर मुझे आई मैं जज़्ब कर ले
बक़ा के लिए मैं फ़ना चाहता हूँ
बयाँ हाल-ए-दिल मैं करूँ क्यूँ ज़बाँ से
कोई जानता है मैं क्या चाहता हूँ
मुझे क्या ज़रूरत है क्या तुम से माँगूँ
मगर मैं तुम्हारा भला चाहता हूँ
मिरे चारागर मैं हूँ बीमार तेरा
तिरे हाथ ही शिफ़ा चाहता हूँ

  - Darshan Singh

Bekhudi Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Darshan Singh

As you were reading Shayari by Darshan Singh

Similar Writers

our suggestion based on Darshan Singh

Similar Moods

As you were reading Bekhudi Shayari Shayari