main bahut khush hoon ki is darja mili daulat-e-gham
itni daulat ki gini jaaye na rakhi jaaye
aur phir kis ko khabar us ki magar mere siva
us ka maalik bhi nahin koi magar mere siva
aur daulat bhi ye aisi ki kahi besh-baha
ek ik moti ka hai rang alag shaan juda
kyun na ho kitne hi saalon ki kamaai hai ye
sirf meri nahin pushton ki kamaai hai ye
chhodi ajdaad ne aulaad ki baari aayi
aur aulaad bhi aulaad ko deti aayi
kuchh kami aayi na us mein kisi mausam kisi saal
be-hisaab ho ke ye badhti rahi badhti hi rahi
main bahut khush hoon ki is darja mili daulat-e-gham
mere ajdaad mein bhi mujh sa na tha koi ameer
meri daulat ke muqaabil hain vo sab log faqeer
main bahut khush hoon ki is darja mili daulat-e-gham
bhoolta hi nahin main apni ameeri ka ghuroor
mere ajdaad ameer aur main ameer ibn-e-ameer
rashk se haaye magar is pe mara jaata hoon
ki na badh jaaye kahi rutba-e-aulaad-e-ameer
rashk aata hai bahut un pe naseebe daard
मैं बहुत ख़ुश हूँ कि इस दर्जा मिली दौलत-ए-ग़म
इतनी दौलत कि गिनी जाए न रक्खी जाए
और फिर किस को ख़बर उस की मगर मेरे सिवा
उस का मालिक भी नहीं कोई मगर मेरे सिवा
और दौलत भी ये ऐसी कि कहीं बेश-बहा
एक इक मोती का है रंग अलग शान जुदा
क्यूँ न हो कितने ही सालों की कमाई है ये
सिर्फ़ मेरी नहीं पुश्तों की कमाई है ये
छोड़ी अज्दाद ने औलाद की बारी आई
और औलाद भी औलाद को देती आई
कुछ कमी आई न उस में किसी मौसम किसी साल
बे-हिसाब हो के ये बढ़ती रही बढ़ती ही रही
मैं बहुत ख़ुश हूँ कि इस दर्जा मिली दौलत-ए-ग़म
मेरे अज्दाद में भी मुझ सा न था कोई अमीर
मेरी दौलत के मुक़ाबिल हैं वो सब लोग फ़क़ीर
मैं बहुत ख़ुश हूँ कि इस दर्जा मिली दौलत-ए-ग़म
भूलता ही नहीं मैं अपनी अमीरी का ग़ुरूर
मेरे अज्दाद अमीर और मैं अमीर इब्न-ए-अमीर
रश्क से हाए मगर इस पे मरा जाता हूँ
कि न बढ़ जाए कहीं रुत्बा-ए-औलाद-ए-अमीर
रश्क आता है बहुत उन पे नसीबे दारद
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Daud Ghazi
our suggestion based on Daud Ghazi
As you were reading Mazdoor Shayari Shayari