jazba-e-nau bhi to hai hasrat-e-naakaam ke saath | जज़्बा-ए-नौ भी तो है हसरत-ए-नाकाम के साथ

  - Daud Ghazi

jazba-e-nau bhi to hai hasrat-e-naakaam ke saath
khwaahish-e-subh ubharti to hai har shaam ke saath

ho vo tahseen ke hamraah ki dushnaam ke saath
aa to jaata hai mera naam tire naam ke saath

tere kooche se bhi guzra hoon main ai husn-e-talab
subh ke saath kabhi aur kabhi shaam ke saath

mushkilein raah mein aati to bahut hain lekin
yaad kar leta hoon main tujh ko har ik gaam ke saath

pehle mera tha ye gham ab hai zamaane bhar ka
gham bhi gardish mein raha gardish-e-ayyaam ke saath

jhoomti aati hai khushboo se bhari aati hai
jab bhi aati hai saba aap ke paighaam ke saath

जज़्बा-ए-नौ भी तो है हसरत-ए-नाकाम के साथ
ख़्वाहिश-ए-सुब्ह उभरती तो है हर शाम के साथ

हो वो तहसीन के हमराह कि दुश्नाम के साथ
आ तो जाता है मिरा नाम तिरे नाम के साथ

तेरे कूचे से भी गुज़रा हूँ मैं ऐ हुस्न-ए-तलब
सुब्ह के साथ कभी और कभी शाम के साथ

मुश्किलें राह में आती तो बहुत हैं लेकिन
याद कर लेता हूँ मैं तुझ को हर इक गाम के साथ

पहले मेरा था ये ग़म अब है ज़माने भर का
ग़म भी गर्दिश में रहा गर्दिश-ए-अय्याम के साथ

झूमती आती है ख़ुशबू से भरी आती है
जब भी आती है सबा आप के पैग़ाम के साथ

  - Daud Ghazi

Rahbar Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Daud Ghazi

As you were reading Shayari by Daud Ghazi

Similar Writers

our suggestion based on Daud Ghazi

Similar Moods

As you were reading Rahbar Shayari Shayari