sitam ka khauf nahin hai alam ki baat nahin
rah-e-talab mein kisi pech-o-kham ki baat nahin
visaal-e-yaar ki ummeed bhi ajab shay hai
hazaar gham hain magar phir bhi gham ki baat nahin
chalo ki mil ke madaawa-e-gham karein ham log
hai sab ko ek hi gham besh-o-kam ki baat nahin
tumhaari zulf hai mumkin hai khud sanwar jaaye
tumhaari zulf mein kuchh pech-o-kham ki baat nahin
sitamgaron pe in ashkon ka kya asar hoga
hayaat-e-jehad hai kuchh chashm-e-nam ki baat nahin
सितम का ख़ौफ़ नहीं है अलम की बात नहीं
रह-ए-तलब में किसी पेच-ओ-ख़म की बात नहीं
विसाल-ए-यार की उम्मीद भी अजब शय है
हज़ार ग़म हैं मगर फिर भी ग़म की बात नहीं
चलो कि मिल के मदावा-ए-ग़म करें हम लोग
है सब को एक ही ग़म बेश-ओ-कम की बात नहीं
तुम्हारी ज़ुल्फ़ है मुमकिन है ख़ुद सँवर जाए
तुम्हारी ज़ुल्फ़ में कुछ पेच-ओ-ख़म की बात नहीं
सितमगरों पे इन अश्कों का क्या असर होगा
हयात-ए-जेहद है कुछ चश्म-ए-नम की बात नहीं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Daud Ghazi
our suggestion based on Daud Ghazi
As you were reading Zakhm Shayari Shayari