tamaam waqt tumheen se kalaam karte hain
shab-e-firaq ka yun ehtimaam karte hain
sajaaye rakhte hain har waqt ham naye din-raat
tumhaare vaaste ye iltizaam karte hain
khayaal-e-yaar se karte hain subh ka aaghaaz
umeed-e-yaar ke saaye mein shaam karte hain
kahaan mite hain kisi se nuqoosh-e-ahl-e-shauq
jo na-samajh hain vo ye saii-e-khaam karte hain
chhupa ke rakhe hain saaqi ne saagar-o-meena
isee sabab to fugaan tishna-kaam karte hain
ye be-sabab to nahin itne shohra-e-aafaq
tumhaare naam se ham apna naam karte hain
gham-e-hayaat se aadaab-e-zindagi seekhe
gham-e-hayaat ka ham ehtiraam karte hain
तमाम वक़्त तुम्हीं से कलाम करते हैं
शब-ए-फ़िराक़ का यूँ एहतिमाम करते हैं
सजाए रखते हैं हर वक़्त हम नए दिन-रात
तुम्हारे वास्ते ये इल्तिज़ाम करते हैं
ख़याल-ए-यार से करते हैं सुब्ह का आग़ाज़
उमीद-ए-यार के साए में शाम करते हैं
कहाँ मिटे हैं किसी से नुक़ूश-ए-अहल-ए-शौक़
जो ना-समझ हैं वो ये सई-ए-ख़ाम करते हैं
छुपा के रक्खे हैं साक़ी ने साग़र-ओ-मीना
इसी सबब तो फ़ुग़ाँ तिश्ना-काम करते हैं
ये बे-सबब तो नहीं इतने शोहरा-ए-आफ़ाक़
तुम्हारे नाम से हम अपना नाम करते हैं
ग़म-ए-हयात से आदाब-ए-ज़िंदगी सीखे
ग़म-ए-हयात का हम एहतिराम करते हैं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Daud Ghazi
our suggestion based on Daud Ghazi
As you were reading Relationship Shayari Shayari