gham-e-hayaat mein jaise bhi zindagi ki hai | ग़म-ए-हयात में जैसे भी ज़िंदगी की है

  - Daud Ghazi

gham-e-hayaat mein jaise bhi zindagi ki hai
tumhaari yaad to lekin kabhi kabhi ki hai

jo gham mila tha to ye chaaha gham-e-ziyaad mile
siyaah shab mein tamanna-e-roshni ki hai

hayaat saath mein laai hai maut ka saamaan
kisi ne ham se bahut khoob dil-lagi ki hai

ye gham ki raat nahin jis ki intiha koi
tire baghair basar kuchh ajeeb si ki hai

nigah-e-yaar ka is mein koi qusoor nahin
ki ham ne dil ki kharaabi to aap hi ki hai

ग़म-ए-हयात में जैसे भी ज़िंदगी की है
तुम्हारी याद तो लेकिन कभी कभी की है

जो ग़म मिला था तो ये चाहा ग़म-ए-ज़ियाद मिले
सियाह शब में तमन्ना-ए-रौशनी की है

हयात साथ में लाई है मौत का सामाँ
किसी ने हम से बहुत ख़ूब दिल-लगी की है

ये ग़म की रात नहीं जिस की इंतिहा कोई
तिरे बग़ैर बसर कुछ अजीब सी की है

निगाह-ए-यार का इस में कोई क़ुसूर नहीं
कि हम ने दिल की ख़राबी तो आप ही की है

  - Daud Ghazi

Qabr Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Daud Ghazi

As you were reading Shayari by Daud Ghazi

Similar Writers

our suggestion based on Daud Ghazi

Similar Moods

As you were reading Qabr Shayari Shayari