main ne chaahat ke geet gaaye the
sunne waale magar paraaye the
umr bhar ko khushi ka rog laga
ek do din ko muskuraaye the
raahatein hi na kar sake haasil
raahaton ke mahal banaaye the
mere khwaabon ki raushni mein kabhi
in labon par labon ke saaye the
kis ne kheench jafaa ki talwaarein
kis ne armaan ke khun bahaaye the
bah rahi hain nashaat ki nadiyaan
kya ishaare the kya kinaaye the
main ne chaahat ke aasmaan par dost
chaand taaron ke daf bajaae the
haaye vo din jo tere saath gaye
naghma-o-noor mein nahaaye the
मैं ने चाहत के गीत गाए थे
सुनने वाले मगर पराए थे
उम्र भर को ख़ुशी का रोग लगा
एक दो दिन को मुस्कुराए थे
राहतें ही न कर सके हासिल
राहतों के महल बनाए थे
मेरे ख़्वाबों की रौशनी में कभी
इन लबों पर लबों के साए थे
किस ने खींचें जफ़ा की तलवारें
किस ने अरमाँ के ख़ूँ बहाए थे
बह रही हैं नशात की नदियाँ
क्या इशारे थे क्या किनाए थे
मैं ने चाहत के आसमाँ पर दोस्त
चाँद तारों के दफ़ बजाए थे
हाए वो दिन जो तेरे साथ गए
नग़्मा-ओ-नूर में नहाए थे
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Daur Afridi
our suggestion based on Daur Afridi
As you were reading Khushi Shayari Shayari