naaz-o-ghamza-numa kalaam aaye | नाज़-ओ-ग़म्ज़ा-नुमा कलाम आए

  - Daur Afridi

naaz-o-ghamza-numa kalaam aaye
tere naame the mere naam aaye

ham kise hum-safar kahein ki yahan
jitne saath aaye chand gaam aaye

jaane kya baat hai ki tere huzoor
lab pe har baat na-tamaam aaye

haaye tujh bin tujhe khabar hi nahin
kitne be-kaif subh-o-shaam aaye

ek tere khuloos-e-dil ke siva
ham kahi se na tishna-kaam aaye

ab thaharti nahin kahi bhi nazar
de dua koi ya salaam aaye

daur kya kufr hai ki ab lab par
allah allah na raam raam aaye

नाज़-ओ-ग़म्ज़ा-नुमा कलाम आए
तेरे नामे थे मेरे नाम आए

हम किसे हम-सफ़र कहें कि यहाँ
जितने साथ आए चंद गाम आए

जाने क्या बात है कि तेरे हुज़ूर
लब पे हर बात ना-तमाम आए

हाए तुझ बिन तुझे ख़बर ही नहीं
कितने बे-कैफ़ सुब्ह-ओ-शाम आए

एक तेरे ख़ुलूस-ए-दिल के सिवा
हम कहीं से न तिश्ना-काम आए

अब ठहरती नहीं कहीं भी नज़र
दे दुआ कोई या सलाम आए

'दौर' क्या कुफ़्र है कि अब लब पर
अल्लाह अल्लाह न राम राम आए

  - Daur Afridi

Dua Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Daur Afridi

As you were reading Shayari by Daur Afridi

Similar Writers

our suggestion based on Daur Afridi

Similar Moods

As you were reading Dua Shayari Shayari