khwaahish-e-be-naam se waqif nahin | ख़्वाहिश-ए-बे-नाम से वाक़िफ़ नहीं - Dilkash Sagari

khwaahish-e-be-naam se waqif nahin
ik nasheeli shaam se waqif nahin

bah raha hoon main to dariya ki tarah
farq-e-khaas-o-aam se waqif nahin

fan tire sher'on mein kya aaye ki tu
haafiz-o-khayyaam se waqif nahin

haan wahi dilkash wahi be-aabroo
kaun us badnaam se waqif nahin

ख़्वाहिश-ए-बे-नाम से वाक़िफ़ नहीं
इक नशीली शाम से वाक़िफ़ नहीं

बह रहा हूँ मैं तो दरिया की तरह
फ़र्क़-ए-ख़ास-ओ-आम से वाक़िफ़ नहीं

फ़न तिरे शे'रों में क्या आए कि तू
हाफ़िज़-ओ-ख़य्याम से वाक़िफ़ नहीं

हाँ वही 'दिलकश' वही बे-आबरू
कौन उस बदनाम से वाक़िफ़ नहीं

- Dilkash Sagari
0 Likes

Hunar Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Dilkash Sagari

As you were reading Shayari by Dilkash Sagari

Similar Writers

our suggestion based on Dilkash Sagari

Similar Moods

As you were reading Hunar Shayari Shayari