dosto tum ne bhi dekhi hai vo soorat vo shabeeh | दोस्तो तुम ने भी देखी है वो सूरत वो शबीह - Dilkash Sagari

dosto tum ne bhi dekhi hai vo soorat vo shabeeh
jo nigaahon mein samaa jaati hai manzar ki tarah

mujh ko ik qatra-e-be-faiz samajh ke na guzar
phail jaaunga kisi roz samundar ki tarah

shahr-aashob mein cheezein ka koi qahat nahin
zakham milte hain dukano mein gul-e-tar ki tarah

apne haathon ki lakeeron mein nahin hai shaayad
haaye vo zulf jo khul jaaye muqaddar ki tarah

mujh se itraao na yaaro ki mujhe hai ma'aloom
aap ka ghar ki shikasta hai mere ghar ki tarah

dil ne kuch khwaab to dekhe the magar kya kijeye
vo bhi gum ho gaye taalaab mein patthar ki tarah

दोस्तो तुम ने भी देखी है वो सूरत वो शबीह
जो निगाहों में समा जाती है मंज़र की तरह

मुझ को इक क़तरा-ए-बे-फ़ैज़ समझ के न गुज़र
फैल जाऊँगा किसी रोज़ समुंदर की तरह

शहर-आशोब में चीज़ों का कोई क़हत नहीं
ज़ख़्म मिलते हैं दुकानों में गुल-ए-तर की तरह

अपने हाथों की लकीरों में नहीं है शायद
हाए वो ज़ुल्फ़ जो खुल जाए मुक़द्दर की तरह

मुझ से इतराओ न यारो कि मुझे है मा'लूम
आप का घर कि शिकस्ता है मिरे घर की तरह

दिल ने कुछ ख़्वाब तो देखे थे मगर क्या कीजे
वो भी गुम हो गए तालाब में पत्थर की तरह

- Dilkash Sagari
0 Likes

Samundar Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Dilkash Sagari

As you were reading Shayari by Dilkash Sagari

Similar Writers

our suggestion based on Dilkash Sagari

Similar Moods

As you were reading Samundar Shayari Shayari