phir gulaab ki shaakhen saj gaeein qareenon se | फिर गुलाब की शाख़ें सज गईं क़रीनों से - Dilkash Sagari

phir gulaab ki shaakhen saj gaeein qareenon se
aap bhi utar aayein chaandni ke zeeno se

apni paak-baazi ka phir suboot de lena
tum lahu to dho daalo pehle aasteenon se

dushmanon ke khemo'n mein khul ke jaaie sahab
haan magar bache rahiye khush-ada haseenon se

un ke aariz-o-lab ko chaand se na do tashbeeh
pattharon ko kya nisbat qeemti nageenon se

koi un ko ja kar ye iltimaas pahuncha de
aap ko nahin dekha dedh-do maheenon se

khush-libaas maujon ne pairhan badal dale
aap bhi zara langar kholie safeenon se

ma-sivaa-e-mehroomi aur kuch nahin paaya
aqiloon ki basti mein mil liye zaheenon se

फिर गुलाब की शाख़ें सज गईं क़रीनों से
आप भी उतर आएँ चाँदनी के ज़ीनों से

अपनी पाक-बाज़ी का फिर सुबूत दे लेना
तुम लहू तो धो डालो पहले आस्तीनों से

दुश्मनों के ख़ेमों में खुल के जाइए साहब
हाँ मगर बचे रहिए ख़ुश-अदा हसीनों से

उन के आरिज़-ओ-लब को चाँद से न दो तश्बीह
पत्थरों को क्या निस्बत क़ीमती नगीनों से

कोई उन को जा कर ये इल्तिमास पहुँचा दे
आप को नहीं देखा डेढ़-दो महीनों से

ख़ुश-लिबास मौजों ने पैरहन बदल डाले
आप भी ज़रा लंगर खोलिए सफ़ीनों से

मा-सिवा-ए-महरूमी और कुछ नहीं पाया
आक़िलों की बस्ती में मिल लिए ज़हीनों से

- Dilkash Sagari
0 Likes

Chaand Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Dilkash Sagari

As you were reading Shayari by Dilkash Sagari

Similar Writers

our suggestion based on Dilkash Sagari

Similar Moods

As you were reading Chaand Shayari Shayari