khaar ko phool kaho dasht ko gulzaar kaho | ख़ार को फूल कहो दश्त को गुलज़ार कहो - Dilkash Sagari

khaar ko phool kaho dasht ko gulzaar kaho
aur is jabr ko azaadi-e-afkaar kaho

jin ke haathon mein alam aur na kamar mein shamsheer
vo bhi kahte hain humein qaafila-salaar kaho

main to ik shokh ke daaman se karunga ta'beer
tum use shauq se but-khaane ki deewaar kaho

zulf bahke to use baad-e-bahaaraan samjho
chaand nikle to use sho'la-e-rukhsaar kaho

kaj-kulaahon ke liye sang-e-malaamat bhi hain phool
sar pe aayein to inhen zeenat-e-dastaar kaho

mere sher'on mein dhadakta hai dil-e-mustaqbil
mujh ko chaaho to naye daur ka fankaar kaho

main ne dhaaye hain rivaayat ke bosida mahal
tum mujhe shauq se ghalib ka taraf-daar kaho

ख़ार को फूल कहो दश्त को गुलज़ार कहो
और इस जब्र को आज़ादी-ए-अफ़्कार कहो

जिन के हाथों में अलम और न कमर में शमशीर
वो भी कहते हैं हमें क़ाफ़िला-सालार कहो

मैं तो इक शोख़ के दामन से करूँगा ता'बीर
तुम उसे शौक़ से बुत-ख़ाने की दीवार कहो

ज़ुल्फ़ बहके तो उसे बाद-ए-बहाराँ समझो
चाँद निकले तो उसे शो'ला-ए-रुख़्सार कहो

कज-कुलाहों के लिए संग-ए-मलामत भी हैं फूल
सर पे आएँ तो इन्हें ज़ीनत-ए-दस्तार कहो

मेरे शे'रों में धड़कता है दिल-ए-मुस्तक़बिल
मुझ को चाहो तो नए दौर का फ़नकार कहो

मैं ने ढाए हैं रिवायात के बोसीदा महल
तुम मुझे शौक़ से 'ग़ालिब' का तरफ़-दार कहो

- Dilkash Sagari
0 Likes

Violence Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Dilkash Sagari

As you were reading Shayari by Dilkash Sagari

Similar Writers

our suggestion based on Dilkash Sagari

Similar Moods

As you were reading Violence Shayari Shayari