main ki gham ki aag mein doob kar sanwar gaya | मैं कि ग़म की आग में डूब कर सँवर गया - Dilkash Sagari

main ki gham ki aag mein doob kar sanwar gaya
aur har gurez-paa apni maut mar gaya

aap muzmahil na hon dil ki waardaat par
phool tha jhuls gaya rang tha bikhar gaya

mujh se kya zawaal ki munaasibat ki dosto
din dhale to aur bhi gham mera nikhar gaya

un ko choo liya nigaah ne to ye laga mujhe
jaise koi rooh mein door tak utar gaya

chehra-e-hayaat ko dekh kar lahu lahu
aaj to main apne hi doston se dar gaya

मैं कि ग़म की आग में डूब कर सँवर गया
और हर गुरेज़-पा अपनी मौत मर गया

आप मुज़्महिल न हों दिल की वारदात पर
फूल था झुलस गया रंग था बिखर गया

मुझ से क्या ज़वाल की मुनासिबत कि दोस्तो
दिन ढले तो और भी ग़म मिरा निखर गया

उन को छू लिया निगाह ने तो ये लगा मुझे
जैसे कोई रूह में दूर तक उतर गया

चेहरा-ए-हयात को देख कर लहू लहू
आज तो मैं अपने ही दोस्तों से डर गया

- Dilkash Sagari
0 Likes

Wahshat Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Dilkash Sagari

As you were reading Shayari by Dilkash Sagari

Similar Writers

our suggestion based on Dilkash Sagari

Similar Moods

As you were reading Wahshat Shayari Shayari