hai lahu shaheedon ka naqsh-e-jaavedaan yaaro | है लहू शहीदों का नक़्श-ए-जावेदाँ यारो - Dilkash Sagari

hai lahu shaheedon ka naqsh-e-jaavedaan yaaro
maqtalon mein hoti hai aaj bhi azaan yaaro

sail-e-waqt hoon mujh ko kaun rok saka hai
cheen lo qalam chahe kaat lo zabaan yaaro

baal-o-par ki mehroomi aur khun rulaati hai
jab bhi dekh leta hoon soo-e-aasmaan yaaro

is nigaah-e-baham ko aur kis se doon nisbat
nok-e-be-sinaan yaaro teer be-kamaan yaaro

un ki bazm-e-rangeen ka ahl to na tha lekin
kaam aa gai meri shokhi-e-bayaan yaaro

ye bhi apne mehwar ki samt lautaa hoga
be-sabab nahin uthata aag se dhuaan yaaro

is sadi ne baksha hai mujh ko ek naya lahja
mujh se chhut nahin sakti jiddat-e-bayaan yaaro

है लहू शहीदों का नक़्श-ए-जावेदाँ यारो
मक़्तलों में होती है आज भी अज़ाँ यारो

सैल-ए-वक़्त हूँ मुझ को कौन रोक सकता है
छीन लो क़लम चाहे काट लो ज़बाँ यारो

बाल-ओ-पर की महरूमी और ख़ूँ रुलाती है
जब भी देख लेता हूँ सू-ए-आसमाँ यारो

इस निगाह-ए-बहम को और किस से दूँ निस्बत
नोक-ए-बे-सिनाँ यारो तीर बे-कमाँ यारो

उन की बज़्म-ए-रंगीं का अहल तो न था लेकिन
काम आ गई मेरी शोख़ी-ए-बयाँ यारो

ये भी अपने मेहवर की सम्त लौटता होगा
बे-सबब नहीं उठता आग से धुआँ यारो

इस सदी ने बख़्शा है मुझ को एक नया लहजा
मुझ से छुट नहीं सकती जिद्दत-ए-बयाँ यारो

- Dilkash Sagari
0 Likes

Charagh Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Dilkash Sagari

As you were reading Shayari by Dilkash Sagari

Similar Writers

our suggestion based on Dilkash Sagari

Similar Moods

As you were reading Charagh Shayari Shayari