sapnon ki dhaara mein bahta rehta hoon | सपनों की धारा में बहता रहता हूँ - Dilkash Sagari

sapnon ki dhaara mein bahta rehta hoon
shabdon ke aakaar badalta rehta hoon

haal se mustaqbil se aankhen band kiye
maazi ki dahleez pe sota rehta hoon

un se teri shakl nahin milti phir bhi
phoolon se din-raat jhagdta rehta hoon

baahar ghup andhiyaara goonge bahre log
apne aap se baatein karta rehta hoon

main hoon sar se pa tak zahar-bhara saagar
khud hi apne jism ko dasta rehta hoon

सपनों की धारा में बहता रहता हूँ
शब्दों के आकार बदलता रहता हूँ

हाल से मुस्तक़बिल से आँखें बंद किए
माज़ी की दहलीज़ पे सोता रहता हूँ

उन से तेरी शक्ल नहीं मिलती फिर भी
फूलों से दिन-रात झगड़ता रहता हूँ

बाहर घुप अँधियारा गूँगे बहरे लोग
अपने आप से बातें करता रहता हूँ

मैं हूँ सर से पा तक ज़हर-भरा 'सागर'
ख़ुद ही अपने जिस्म को डसता रहता हूँ

- Dilkash Sagari
0 Likes

Baaten Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Dilkash Sagari

As you were reading Shayari by Dilkash Sagari

Similar Writers

our suggestion based on Dilkash Sagari

Similar Moods

As you were reading Baaten Shayari Shayari