ujaale milte bhala kaise raat kaatne se
ki teergi nahin ghatti charaagh baantne se
fazaa mein udte parinde bhi samt bhool gaye
hawa mein girhen padeen aisi ped kaatne se
main jaanta hoon biyaabaan ke bhed-bhaav magar
khizaan ki dhoop nikhrati hai phool chaatne se
ye soch kar main kabhi dil ko radd nahin karta
bigad hi jaaye na ye baccha roz daantne se
jo pehle thi wahi nafrat hai us ke dil mein hunooz
ki ye khaleej hui kam na mere paatne se
ye apne apne muqaddar ki baat hai ehsaan
sabhi ko phool nahin milte shaakh chaatne se
उजाले मिलते भला कैसे रात काटने से
कि तीरगी नहीं घटती चराग़ बाँटने से
फ़ज़ा में उड़ते परिंदे भी सम्त भूल गए
हवा में गिर्हें पड़ीं ऐसी पेड़ काटने से
मैं जानता हूँ बयाबाँ के भेद-भाव मगर
ख़िज़ाँ की धूप निखरती है फूल चाटने से
ये सोच कर मैं कभी दिल को रद्द नहीं करता
बिगड़ ही जाए न ये बच्चा रोज़ डाँटने से
जो पहले थी वही नफ़रत है उस के दिल में हुनूज़
कि ये ख़लीज हुई कम न मेरे पाटने से
ये अपने अपने मुक़द्दर की बात है 'एहसान'
सभी को फूल नहीं मिलते शाख़ छाटने से
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ehsaan Ghaman
our suggestion based on Ehsaan Ghaman
As you were reading Nafrat Shayari Shayari