ai mere shehr-e-ishq tira kaisa bakht hai | ऐ मेरे शहर-ए-इश्क़ तिरा कैसा बख़्त है

  - Ehsaan Ghaman

ai mere shehr-e-ishq tira kaisa bakht hai
main jis ko dekhta hoon wahi lakht lakht hai

khush ho raha hoon is liye mitti pe baith kar
yaaro yahi zameen mera pehla takht hai

chaanv ki justuju bhi kahaan le ke aa gai
sehra se poochta hoon kahi par darakht hai

duniya mere mizaaj ko samjhi nahin abhi
shaayad isee liye mera lahja karkht hai

ik pal mein kaise nikloon main duniya samet kar
saari zameen pe bikhra hua mera rakht hai

ehsaan vo to phool se naazuk laga mujhe
main to samajh raha tha vo patthar se sakht hai

ऐ मेरे शहर-ए-इश्क़ तिरा कैसा बख़्त है
मैं जिस को देखता हूँ वही लख़्त लख़्त है

ख़ुश हो रहा हूँ इस लिए मिट्टी पे बैठ कर
यारो यही ज़मीन मिरा पहला तख़्त है

छाँव की जुस्तुजू भी कहाँ ले के आ गई
सहरा से पूछता हूँ कहीं पर दरख़्त है

दुनिया मिरे मिज़ाज को समझी नहीं अभी
शायद इसी लिए मेरा लहजा करख़्त है

इक पल में कैसे निकलूँ मैं दुनिया समेट कर
सारी ज़मीं पे बिखरा हुआ मेरा रख़्त है

'एहसान' वो तो फूल से नाज़ुक लगा मुझे
मैं तो समझ रहा था वो पत्थर से सख़्त है

  - Ehsaan Ghaman

Nature Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ehsaan Ghaman

As you were reading Shayari by Ehsaan Ghaman

Similar Writers

our suggestion based on Ehsaan Ghaman

Similar Moods

As you were reading Nature Shayari Shayari