ye jo ham soorat-e-ashjaar mein ug aate hain
tum samjhte ho ki be-kaar mein ug aate hain
ham nahin dekhte zarkhez zameenon ki taraf
ham vo paude hain jo deewaar mein ug aate hain
jitni raftaar se tum kaatte jaate ho hamein
phir se ham utni hi miqdaar mein ug aate hain
jin ko gul-daan mein rakhna nahin aaya hai hamein
phool vo wahshat-e-kohsaar mein ug aate hain
sab ko sardaari buzurgi se nahin milti hai
aise sar bhi hain jo dastaar mein ug aate hain
apne ausaaf nahin bhoolte ehsaan kabhi
beej fal phool jo ashjaar mein ug aate hain
ये जो हम सूरत-ए-अश्जार में उग आते हैं
तुम समझते हो कि बे-कार में उग आते हैं
हम नहीं देखते ज़रख़ेज़ ज़मीनों की तरफ़
हम वो पौदे हैं जो दीवार में उग आते हैं
जितनी रफ़्तार से तुम काटते जाते हो हमें
फिर से हम उतनी ही मिक़दार में उग आते हैं
जिन को गुल-दान में रखना नहीं आया है हमें
फूल वो वहशत-ए-कोहसार में उग आते हैं
सब को सरदारी बुज़ुर्गी से नहीं मिलती है
ऐसे सर भी हैं जो दस्तार में उग आते हैं
अपने औसाफ़ नहीं भूलते 'एहसान' कभी
बीज फल फूल जो अश्जार में उग आते हैं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ehsaan Ghaman
our suggestion based on Ehsaan Ghaman
As you were reading Phool Shayari Shayari