main hairaan tha manzar ki hairaani par
phool khile the bahte hue jab paani par
mere kapde dekh ke mitti bol padi
ghaas ugaao meri bhi uryaani par
main ne tera naam likha jab taaron par
chaand hansa tha meri is nadaani par
yaad karo jis raat ikatthe baithe the
ghanton baat chali thi raat ki raani par
dekhe hain kuchh dekhe bhaale log yahan
kis ne ghar aabaad kiya veeraani par
main ne ik sajde mein raat guzaari hai
yun hi nahin ye chaand bana peshaani par
मैं हैरान था मंज़र की हैरानी पर
फूल खिले थे बहते हुए जब पानी पर
मेरे कपड़े देख के मिट्टी बोल पड़ी
घास उगाओ मेरी भी उर्यानी पर
मैं ने तेरा नाम लिखा जब तारों पर
चाँद हँसा था मेरी इस नादानी पर
याद करो जिस रात इकट्ठे बैठे थे
घंटों बात चली थी रात की रानी पर
देखे हैं कुछ देखे भाले लोग यहाँ
किस ने घर आबाद किया वीरानी पर
मैं ने इक सज्दे में रात गुज़ारी है
यूँ ही नहीं ये चाँद बना पेशानी पर
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ehsaan Ghaman
our suggestion based on Ehsaan Ghaman
As you were reading I Miss you Shayari Shayari