vo ek pul tha | वो एक पुल था

  - Ejaz Farooqi

vo ek pul tha
mere aur ajdaad ke zamaanon ka nuqta-e-ittisaal
us ki guzargaahon se rivaayaton aur hikaayaton ke hazaar-ha qafile nikal kar
naye zamaane ki yurishon se meri bikhrti ana mein
ulfat yaqeen aur e'timaad ke rang bhar gaye hain
vo ek pul aaj toot kar gahri ghaatiyon mein gira hai
ab main khada hoon
un gahri ghaatiyon par
main ek pul hoon
vo ek bargad tha
jis ki chaanv mein ek thandi mithaas thi
jis ne jalte suraj ki hiddaten apne jism mein jazb kar ke
us ki sunhari kirnon ko thandi shabnam ki tarah
meri ujaad aankhon mein qatra qatra utaara
vo aaj hiddaton ke wafoor se jal gaya
to ab main hi ek bargad hoon
aane waalon ke vaaste ek thandi chaanv

vo ek jawaalaa tha
vo bharpoor zeest karne ki ek seemaabi aarzoo
vo lahu ki dhadkan
jo raat ki zulmato_n pe shab-khoon maar kar
raushni aur ummeed ke dareechon ko kholta
aaj shab ka saffaaq haath
us ke lahu ki dhadkan ko le uda
aur ab faqat main hoon
raat ki zulmato_n se panja-fagan

वो एक पुल था
मिरे और अज्दाद के ज़मानों का नुक़्ता-ए-इत्तिसाल
उस की गुज़रगाहों से रिवायतों और हिकायतों के हज़ार-हा क़ाफ़िले निकल कर
नए ज़माने की यूरिशों से मिरी बिखरती अना में
उल्फ़त यक़ीन और ए'तिमाद के रंग भर गए हैं
वो एक पुल आज टूट कर गहरी घाटियों में गिरा है
अब मैं खड़ा हूँ
उन गहरी घाटियों पर
मैं एक पुल हूँ
वो एक बरगद था
जिस की छाँव में एक ठंडी मिठास थी
जिस ने जलते सूरज की हिद्दतें अपने जिस्म में जज़्ब कर के
उस की सुनहरी किरनों को ठंडी शबनम की तरह
मेरी उजाड़ आँखों में क़तरा क़तरा उतारा
वो आज हिद्दतों के वफ़ूर से जल गया
तो अब मैं ही एक बरगद हूँ
आने वालों के वास्ते एक ठंडी छाँव

वो एक जव्वाला था
वो भरपूर ज़ीस्त करने की एक सीमाबी आरज़ू
वो लहू की धड़कन
जो रात की ज़ुल्मतों पे शब-ख़ून मार कर
रौशनी और उम्मीद के दरीचों को खोलता
आज शब का सफ़्फ़ाक हाथ
उस के लहू की धड़कन को ले उड़ा
और अब फ़क़त मैं हूँ
रात की ज़ुल्मतों से पंजा-फ़गन

  - Ejaz Farooqi

Self respect Shayari

Our suggestion based on your choice

Similar Writers

our suggestion based on Ejaz Farooqi

Similar Moods

As you were reading Self respect Shayari Shayari