teri turbat | तेरी तुर्बत

  - Ejaz Farooqi

teri turbat
teri aawazon ka gumbad
ek wazifa
jis se gumbad ka poshida dar khul jaata
bhool gaya tha
us ki khaatir jaane kitne veeraane aur kitne basere main ne chhaane
par vo muqaddas paanv ki mitti na mil saki
jis ko is moorat par malta
to teri hi awaaz nikalti
teri chaand si aawazon par
patthar jaisa baadal
baras baras kar ghul jaata
to chaandni mere bheetar ki bhasmaane waali aag bujhaati
mera jism bhi
teri aawazon ka marqad
andar ik toofaan tha
aawazon ke sholay chatkh rahe the
baahar
huu ka aalam
teri aawazon mein rang the
meethe thande aur raseele
meri aawazon mein cheekhen
teri aawazon ke rang main jungle jungle dhundh raha tha
aankh utha kar dekha
to teri hi aawazon ke rang hain
jo aakaash pe bikhre pade hain

तेरी तुर्बत
तेरी आवाज़ों का गुम्बद
एक वज़ीफ़ा
जिस से गुम्बद का पोशीदा दर खुल जाता
भूल गया था
उस की ख़ातिर जाने कितने वीराने और कितने बसेरे मैं ने छाने
पर वो मुक़द्दस पाँव की मिट्टी न मिल सकी
जिस को इस मूरत पर मलता
तो तेरी ही आवाज़ निकलती
तेरी चाँद सी आवाज़ों पर
पत्थर जैसा बादल
बरस बरस कर घुल जाता
तो चाँदनी मेरे भीतर की भसमाने वाली आग बुझाती
मेरा जिस्म भी
तेरी आवाज़ों का मरक़द
अंदर इक तूफ़ान था
आवाज़ों के शो'ले चटख़ रहे थे
बाहर
हू का आलम
तेरी आवाज़ों में रंग थे
मीठे ठंडे और रसीले
मेरी आवाज़ों में चीख़ें
तेरी आवाज़ों के रंग मैं जंगल जंगल ढूँड रहा था
आँख उठा कर देखा
तो तेरी ही आवाज़ों के रंग हैं
जो आकाश पे बिखरे पड़े हैं

  - Ejaz Farooqi

Aanch Shayari

Our suggestion based on your choice

Similar Writers

our suggestion based on Ejaz Farooqi

Similar Moods

As you were reading Aanch Shayari Shayari