bahut kuchh chahta tha main | बहुत कुछ चाहता था मैं

  - Ekram Khawar

bahut kuchh chahta tha main
hamesha chahta tha main
ki duniya khoobsurat ho
ki jaisi
pyaar karte waqt hoti hai
chahta tha
shaam hote hi utar aaye
falak se chaand bacchon ki hatheli mein
ki shab
tareek ho jitni magar
nam ho khanak ho
aur poorab ki hawaaein
subuk raftaar guzre
chhato par os ho
aur aangaanon mein kahkashaan utre

hamesha chahta tha main
ki aansu hi nahin hon
aur agar hon to
vafur-e-sar-kashi ke
zabaan mein koi luknat
aur honton mein
koi larzish na ho hargiz
agar ho to
mohabbat ki tapish mein

khudaaon ki tarah qadir
hamaare baap boodhe hi na hon
aur apsaraon aur pariyon si
haseen mehboob maayein

apne bacchon ko na royen
kisi bacche ki aankhon mein
kabhi vehshat na dar aaye

koi duniya se na-mahram na guzre

jawaan hone se pehle saare bacche
bhag jaayen apne ghar se
aur duniyaayein basaaein
ya koi baccha
kisi ghar se na bhaage
hamaare gaav ki alhad haseena ki jawaani
itni jaldi to na guzre
bahut din bahut din aur
thehre

aur jashn ki shab
jab bisaat-e-raks qaaim ho
raushni bardaar chehre bhi
munavvar hon

chahta tha ki jinhen hone ka koi haq nahin tha
aise saare lafz baahar hon
zabaanon se hamaari
aur duniya bhar ke saare log
sha'ir hon

hamesha chahta tha
badi ma'amooli cheezen chahta tha main
ki jaise chahta tha
saath ek ladki ka
sard yakh-basta hawaon mein
sharaare bharne waali
ek ladki

ya koi martub mausam
ya ki shabnam mein nahaai
seedhiyon se chaand tak bheegi hui ik raat
shab-e-sehra
mulaayem garam-joshi se bani duniya
halaavat aur hiddat se bani duniya
seena-e-shaair mein ik maghroor parcham
ek ladki
ek duniya

bahut ma'amooli cheezen chahta tha main
ki jaise chahta tha
zindagi mein koi mauseeqi koi naghma
aashnaai dard ke mizraab se
sard zindagi ka koi
insaan taraana
ek kamra aur bistar
ek rajaai
mez aur kursi
kitaaben aur dawaayein
doston ke khat
ek khidki aur thodi chat
thodi masti aur be-khaufi

main ye bhi chahta tha
aur vo bhi chahta tha
main sab kuchh chahta tha
bahut ma'amooli cheezen chahta tha main
bahut ma'amooli cheezein par tiki thi zindagi meri
mujhe afsos hai is ka

meri aankhon ne dekha tha
jahaan ko
aariz-e-mahboob ki soorat
hamaare zehan mein
har khwaab ki tafseel thi
har husn ka imkaan tha
aasmaan kuchh bhi nahin
ek khel ka maidaan tha
bacchon ki khaatir
aur samundar mahaj ek kaanch ki chadar
jise likhne ki khaatir
mez par rakha gaya tha

waqia to ye hai ki
duniya
mere kamre se ziyaada
kuchh nahin thi
mujhe maaloom tha
ki phool kis goshe mein honge
qalam hoga kahaan par
kis jagah kheleinge bacche
aur khanjar
kis jagah hoga

बहुत कुछ चाहता था मैं
हमेशा चाहता था मैं
कि दुनिया ख़ूबसूरत हो
कि जैसी
प्यार करते वक़्त होती है
चाहता था
शाम होते ही उतर आए
फ़लक से चाँद बच्चों की हथेली में
कि शब
तारीक हो जितनी मगर
नम हो खनक हो
और पूरब की हवाएँ
सुबुक रफ़्तार गुज़रें
छतों पर ओस हो
और आँगनों में कहकशाँ उतरे

हमेशा चाहता था मैं
कि आँसू ही नहीं हों
और अगर हों तो
वफ़ूर-ए-सर-कशी के
ज़बाँ में कोई लुक्नत
और होंटों में
कोई लर्ज़िश न हो हरगिज़
अगर हो तो
मोहब्बत की तपिश में

ख़ुदाओं की तरह क़ादिर
हमारे बाप बूढे ही न हों
और अप्सराओं और परियों सी
हसीं महबूब माएँ

अपने बच्चों को न रोएँ
किसी बच्चे की आँखों में
कभी वहशत न दर आए

कोई दुनिया से ना-महरम न गुज़रे

जवाँ होने से पहले सारे बच्चे
भाग जाएँ अपने घर से
और दुनियाएँ बसाएँ
या कोई बच्चा
किसी घर से न भागे
हमारे गाँव की अल्हड़ हसीना की जवानी
इतनी जल्दी तो न गुज़रे
बहुत दिन बहुत दिन और
ठहरे

और जश्न की शब
जब बिसात-ए-रक़्स क़ाएम हो
रौशनी बरदार चेहरे भी
मुनव्वर हों

चाहता था कि जिन्हें होने का कोई हक़ नहीं था
ऐसे सारे लफ़्ज़ बाहर हों
ज़बानों से हमारी
और दुनिया भर के सारे लोग
शाइ'र हों

हमेशा चाहता था
बड़ी मा'मूली चीज़ें चाहता था मैं
कि जैसे चाहता था
साथ एक लड़की का
सर्द यख़-बस्ता हवाओं में
शरारे भरने वाली
एक लड़की

या कोई मर्तूब मौसम
या कि शबनम में नहाई
सीढ़ियों से चाँद तक भीगी हुई इक रात
शब-ए-सेहरा
मुलाएम गरम-जोशी से बनी दुनिया
हलावत और हिद्दत से बनी दुनिया
सीना-ए-शाइर में इक मग़रूर परचम
एक लड़की
एक दुनिया

बहुत मा'मूली चीज़ें चाहता था मैं
कि जैसे चाहता था
ज़िंदगी में कोई मौसीक़ी कोई नग़्मा
आश्नाई दर्द के मिज़राब से
सर्द ज़िंदगी का कोई
बरजस्ता तराना
एक कमरा और बिस्तर
एक रजाई
मेज़ और कुर्सी
किताबें और दवाएँ
दोस्तों के ख़त
एक खिड़की और थोड़ी छत
थोड़ी मस्ती और बे-ख़ौफ़ी

मैं ये भी चाहता था
और वो भी चाहता था
मैं सब कुछ चाहता था
बहुत मा'मूली चीज़ें चाहता था मैं
बहुत मा'मूली चीज़ों पर टिकी थी ज़िंदगी मेरी
मुझे अफ़्सोस है इस का

मेरी आँखों ने देखा था
जहाँ को
आरिज़-ए-महबूब की सूरत
हमारे ज़ेहन में
हर ख़्वाब की तफ़्सील थी
हर हुस्न का इम्कान था
आसमाँ कुछ भी नहीं
एक खेल का मैदान था
बच्चों की ख़ातिर
और समुंदर महज़ एक काँच की चादर
जिसे लिखने की ख़ातिर
मेज़ पर रखा गया था

वाक़िआ' तो ये है कि
दुनिया
मिरे कमरे से ज़ियादा
कुछ नहीं थी
मुझे मालूम था
कि फूल किस गोशे में होंगे
क़लम होगा कहाँ पर
किस जगह खेलेंगे बच्चे
और ख़ंजर
किस जगह होगा

  - Ekram Khawar

Valentine Shayari

Our suggestion based on your choice

Similar Writers

our suggestion based on Ekram Khawar

Similar Moods

As you were reading Valentine Shayari Shayari