har aashna se us bin begaana ho raha hoon | हर आश्ना से उस बिन बेगाना हो रहा हूँ

  - Faez Dehlvi

har aashna se us bin begaana ho raha hoon
majlis mein shamma-roo ki parwaana ho raha hoon

mujh ko malaamat-e-khalq khaatir mein naheen hargiz
zulfaan ki fikr mein main deewaana ho raha hoon

saaqi sharaab-o-saaghar ab chahta nahin hoon
us ke khayal soon main mastaana ho raha hoon

us ke khayal soon main tanha-nasheen hoon rizwan
wahshi sa main saban soon begaana ho raha hoon

dekh us ki lat ka faanda bhoola hoon aab-o-daana
faaez aseer us ka be-daana ho raha hoon

हर आश्ना से उस बिन बेगाना हो रहा हूँ
मज्लिस में शम्अ-रू की परवाना हो रहा हूँ

मुझ को मलामत-ए-ख़ल्क़ ख़ातिर में नाहीँ हरगिज़
ज़ुल्फ़ाँ की फ़िक्र में मैं दीवाना हो रहा हूँ

साक़ी शराब-ओ-साग़र अब चाहता नहीं हूँ
उस के ख़याल सूँ मैं मस्ताना हो रहा हूँ

उस के ख़याल सूँ मैं तन्हा-नशीं हूँ दाइम
वहशी सा मैं सबन सूँ बेगाना हो रहा हूँ

देख उस की लट का फाँदा भूला हूँ आब-ओ-दाना
'फ़ाएज़' असीर उस का बे-दाना हो रहा हूँ

  - Faez Dehlvi

Dost Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Faez Dehlvi

As you were reading Shayari by Faez Dehlvi

Similar Writers

our suggestion based on Faez Dehlvi

Similar Moods

As you were reading Dost Shayari Shayari