mare dil beech naqsh-e-naaznin hai | मरे दिल बीच नक़्श-ए-नाज़नीं है

  - Faez Dehlvi

mare dil beech naqsh-e-naaznin hai
magar ye dil nahin yaaro nageen hai

kamar par teri us ka dil hua mahav
tira aashiq bahut baarik-been hai

jo kahiye us ke haq mein kam hai be-shak
pari hai hoor hai rooh-ul-ameen hai

ghulaam us ke hain saare ab sireejan
nagar mein husn ke kursi-nasheen hai

nahin ab jag mein waisa aur peetam
sabee khush-soorataan soon naazneen hai

mujhe hai moshgaafi mein mahaarat
jo nit dil mahav khatt-e-ambareen hai

nazar kar lutf ki ai shah-e-khooban
tira faaez ghulaam-e-kam-tareen hai

मरे दिल बीच नक़्श-ए-नाज़नीं है
मगर ये दिल नहीं यारो नगीं है

कमर पर तेरी उस का दिल हुआ महव
तिरा आशिक़ बहुत बारीक-बीं है

जो कहिए उस के हक़ में कम है बे-शक
परी है हूर है रूह-उल-अमीं है

ग़ुलाम उस के हैं सारे अब सिरीजन
नगर में हुस्न के कुर्सी-नशीं है

नहीं अब जग में वैसा और पीतम
सबी ख़ुश-सूरताँ सूँ नाज़नीं है

मुझे है मोशगाफ़ी में महारत
जो नित दिल महव ख़त्त-ए-अम्बरीं है

नज़र कर लुत्फ़ की ऐ शाह-ए-ख़ूबाँ
तिरा 'फ़ाएज़' ग़ुलाम-ए-कम-तरीं है

  - Faez Dehlvi

Masti Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Faez Dehlvi

As you were reading Shayari by Faez Dehlvi

Similar Writers

our suggestion based on Faez Dehlvi

Similar Moods

As you were reading Masti Shayari Shayari