lahu ki lehar mein ik khwaab-e-dil-shikan bhi gaya
phir us ke saath hi aankhen gaeein badan bhi gaya
badalte waqt ne badle mizaaj bhi kaise
tiri ada bhi gai mera baankpan bhi gaya
bas ek baar vo aaya tha sair karne ko
phir us ke saath hi khushboo gai chaman bhi gaya
bas ik taalluq be-naam tootne ke b'ad
sukhun tamaam hua rishta-e-sukhan bhi gaya
लहू की लहर में इक ख़्वाब-ए-दिल-शिकन भी गया
फिर उस के साथ ही आँखें गईं बदन भी गया
बदलते वक़्त ने बदले मिज़ाज भी कैसे
तिरी अदा भी गई मेरा बाँकपन भी गया
बस एक बार वो आया था सैर करने को
फिर उस के साथ ही ख़ुश्बू गई चमन भी गया
बस इक तअल्लुक़ बे-नाम टूटने के ब'अद
सुख़न तमाम हुआ रिश्ता-ए-सुख़न भी गया
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Faheem Shanas Kazmi
our suggestion based on Faheem Shanas Kazmi
As you were reading Nature Shayari Shayari