ik nazar mud ke mujhe dekh ai jaane waale
ye jo lamhe hain kabhi phir nahin aane waale
kitni paakizaa jagah hai ki jahaan par logon
ahl-e-maqtal hain meri laash jalane waale
gham-e-dauraan ke masaib ka mudaava kya hai
ishq bas ishq bataate hain bataane waale
yahi sab log hain un sab ne mera qatl kiya
ye meri qabr ko phoolon se sajaane waale
main ne ye baat bahut der se jaani fahmi
saare wa'de nahin hote hain nibhaane waale
इक नज़र मुड़ के मुझे देख ऐ जाने वाले
ये जो लम्हे हैं कभी फिर नहीं आने वाले
कितनी पाकीज़ा जगह है कि जहाँ पर लोगों
अहल-ए-मक़्तल हैं मिरी लाश जलाने वाले
ग़म-ए-दौराँ के मसाइब का मुदावा क्या है
इश्क़ बस इश्क़ बताते हैं बताने वाले
यही सब लोग हैं उन सब ने मिरा क़त्ल किया
ये मिरी क़ब्र को फूलों से सजाने वाले
मैं ने ये बात बहुत देर से जानी 'फ़हमी'
सारे वा'दे नहीं होते हैं निभाने वाले
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Faisal Fehmi
our suggestion based on Faisal Fehmi
As you were reading Ulfat Shayari Shayari