aur to kuchh nahin kiya hoga
main ne phir maut ko jiya hoga
us ke saagar se lab lagaaye the
us ne ik ghoont to piya hoga
aaj bulbul ne us chameli se
jaane kya kaan mein kaha hoga
ek baaki charaagh tha achha
us ko tum ne bujha diya hoga
kuchh dinon qibl tak naya tha main
ab jo hai aaj-kal naya hoga
और तो कुछ नहीं किया होगा
मैं ने फिर मौत को जिया होगा
उस के सागर से लब लगाए थे
उस ने इक घूँट तो पिया होगा
आज बुलबुल ने उस चमेली से
जाने क्या कान में कहा होगा
एक बाक़ी चराग़ था अच्छा
उस को तुम ने बुझा दिया होगा
कुछ दिनों क़ब्ल तक नया था मैं
अब जो है आज-कल नया होगा
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Faisal Fehmi
our suggestion based on Faisal Fehmi
As you were reading Samundar Shayari Shayari