jism ki aag kahaan bujhti hai | जिस्म की आग कहाँ बुझती है

  - Faisal Hashmi

jism ki aag kahaan bujhti hai
log kis waqt mohabbat ka nasha soonghte hain
kitne tukdon mein bikharte hain vo
aur phir jodte hain
ek ik kar ke badan ke a'zaa
aur yahi kahte hain
khaak ke qurb ki betaab kashish
ek be-faiz si sar-garmi hai
jism se aage ki manzil nahin dekhi ham ne

जिस्म की आग कहाँ बुझती है
लोग किस वक़्त मोहब्बत का नशा सूँघते हैं
कितने टुकड़ों में बिखरते हैं वो
और फिर जोड़ते हैं
एक इक कर के बदन के आ'ज़ा
और यही कहते हैं
ख़ाक के क़ुर्ब की बेताब कशिश
एक बे-फ़ैज़ सी सर-गर्मी है
जिस्म से आगे की मंज़िल नहीं देखी हम ने

  - Faisal Hashmi

Kamar Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Faisal Hashmi

As you were reading Shayari by Faisal Hashmi

Similar Writers

our suggestion based on Faisal Hashmi

Similar Moods

As you were reading Kamar Shayari Shayari