resham zulf ke taar bhi baatein karte hain
us ke to rukhsaar bhi baatein karte hain
itna waqt main deta hoon us ladki ko
ab to mere yaar bhi baatein karte hain
sau afsaane ban jaate hain dono ke
ham dono do chaar bhi baatein karte hain
har ik she'r nahin ho saka achha she'r
sha'ir kuchh be-kaar bhi baatein karte hain
itne zakham dikhaata hoon main aaye din
mujh ko to gham-khwaar bhi baatein karte hain
रेशम ज़ुल्फ़ के तार भी बातें करते हैं
उस के तो रुख़्सार भी बातें करते हैं
इतना वक़्त मैं देता हूँ उस लड़की को
अब तो मेरे यार भी बातें करते हैं
सौ अफ़्साने बन जाते हैं दोनों के
हम दोनों दो चार भी बातें करते हैं
हर इक शे'र नहीं हो सकता अच्छा शे'र
शाइ'र कुछ बे-कार भी बातें करते हैं
इतने ज़ख़्म दिखाता हूँ मैं आए दिन
मुझ को तो ग़म-ख़्वार भी बातें करते हैं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Fakhr Abbas
our suggestion based on Fakhr Abbas
As you were reading Waqt Shayari Shayari