sar kiya zulf ki shab ko to sehar tak pahunchen | सर किया ज़ुल्फ़ की शब को तो सहर तक पहुँचे

  - Gaffar Babar

sar kiya zulf ki shab ko to sehar tak pahunchen
warna ham log kahaan husn-e-nazar tak pahunchen

aaj palkon pe meri jashn-e-charaagaan hoga
kitne anmol guhar deeda-e-tar tak pahunchen

meri raaton ka andhera bhi duaaein dega
ik sitaara jo utar kar mere ghar tak pahunchen

kaun kehta hai ki khurshid utar kar aaye
ek jugnoo hi magar khaak-basar tak pahunchen

jo bhi aaye tire kooche mein vo jaan se guzre
sar hatheli pe uthaaye tire dar tak pahunchen

hai usi saahib-e-meraaj ka ehsaan ki ham
khaak ho kar bhi magar shams-o-qamar tak pahunchen

main andheron ka musaafir hoon ujaalon ka naqeeb
kis ki jurat hai meri gard-e-safar tak pahunchen

ungaliyaan pehle qalam karna padenge babar
phir ye mumkin hai qalam harf-e-hunar tak pahunchen

सर किया ज़ुल्फ़ की शब को तो सहर तक पहुँचे
वर्ना हम लोग कहाँ हुस्न-ए-नज़र तक पहुँचे

आज पलकों पे मिरी जश्न-ए-चराग़ाँ होगा
कितने अनमोल गुहर दीदा-ए-तर तक पहुँचे

मेरी रातों का अंधेरा भी दुआएँ देगा
इक सितारा जो उतर कर मिरे घर तक पहुँचे

कौन कहता है कि ख़ुर्शीद उतर कर आए
एक जुगनू ही मगर ख़ाक-बसर तक पहुँचे

जो भी आए तिरे कूचे में वो जाँ से गुज़रे
सर हथेली पे उठाए तिरे दर तक पहुँचे

है उसी साहिब-ए-मेराज का एहसान कि हम
ख़ाक हो कर भी मगर शम्स-ओ-क़मर तक पहुँचे

मैं अँधेरों का मुसाफ़िर हूँ उजालों का नक़ीब
किस की जुरअत है मिरी गर्द-ए-सफ़र तक पहुँचे

उँगलियाँ पहले क़लम करना पड़ेंगी 'बाबर'
फिर ये मुमकिन है क़लम हर्फ़-ए-हुनर तक पहुँचे

  - Gaffar Babar

Dar Shayari

Our suggestion based on your choice

Similar Writers

our suggestion based on Gaffar Babar

Similar Moods

As you were reading Dar Shayari Shayari