ishq karne ka ajee tum mein hunar hai hi nahin | इश्क़ करने का अजी तुम में हुनर है ही नहीं

  - Gagan Bajad 'Aafat'

ishq karne ka ajee tum mein hunar hai hi nahin
ishq kaisa jo udhar hai aur idhar hai hi nahin

chhod kar unko kahaan jaayenge itni raat mein
rah guzar hamse khafa hai aur ghar hai hi nahin

kya karenge ishq karke ghar mein sau sau kaam hain
ishq ka kissa kahi bhi mukhtasar hai hi nahin

naati pote ho chuke hain unke bhi aur mere bhi
dil lagaane ki hamaari ab umar hai hi nahin

chaand taare sab nazaare jiske aage kuchh nahin
par karein kya ham jidhar hain vo udhar hai hi nahin

ro pade the aap kyun jab vo kisi ke saath thi
rona hi kyun jab ke dil mein kuchh agar hai hi nahin

ishq ka kissa khula ghar par sataake vo pade
rang badle khaal ke asli color hai hi nahin

dene waale ne diye hai zindagi ke chaar din
ishq jismein ta-sehr hai umr bhar hai hi nahin

aapko hi ho mubarak aapka ye mashwara
ba-hunar hai ba-asar hai kaargar hai hi nahin

chhup ke milne ka maza tum na samajh paoge ki
pakde jaane ka ajee tumko to dar hai hi nahin

ishq to aisi hai beemaari jiska koi hal nahin
is bimaari ke liye to chaaragar hai hi nahin

jinka hona ya na hona ek jaisi baat hai
unki bhi hai ye shikaayat ke kadar hai hi nahin

usne poocha meri khaatir yaar ko chhodoge tum
hamne de di munh par gaali ke sabr hai hi nahin

itne gunde hamne pale yaar is din ke liye
hamsafar gar ham nahin to rah guzar hai hi nahin

yaar hamse jo kara le unko hak hamne diya
yaariyaan vo hai jahaan lekin magar hai hi nahin

aapka ahsaan thehra aap pe bhi mujh pe bhi
aap mere ho chuke mujhko khabar hai hi nahin

इश्क़ करने का अजी तुम में हुनर है ही नहीं
इश्क़ कैसा जो उधर है और इधर है ही नहीं

छोड़ कर उनको कहाँ जाएँगे इतनी रात में
रह गुज़र हमसे ख़फ़ा है और घर है ही नहीं

क्या करेंगे इश्क़ करके घर में सौ सौ काम हैं
इश्क़ का किस्सा कहीं भी मुख़्तसर है ही नहीं

नाती पोते हो चुके हैं उनके भी और मेरे भी
दिल लगाने की हमारी अब उमर है ही नहीं

चाँद तारे सब नज़ारे जिसके आगे कुछ नहीं
पर करें क्या हम जिधर हैं वो उधर है ही नहीं

रो पड़े थे आप क्यूँ जब वो किसी के साथ थी
रोना ही क्यूँ जब के दिल में कुछ अगर है ही नहीं

इश्क़ का किस्सा खुला घर पर सटाके वो पड़े
रंग बदले खाल के असली कलर है ही नहीं

देने वाले ने दिए है ज़िंदगी के चार दिन
इश्क़ जिसमें ता-सहर है उम्र भर है ही नहीं

आपको ही हो मुबारक आपका ये मशवरा
बा-हुनर है बा-असर है कारगर है ही नहीं

छुप के मिलने का मज़ा तुम ना समझ पाओगे कि
पकड़े जाने का अजी तुमको तो डर है ही नहीं

इश्क़ तो ऐसी है बीमारी जिसका कोई हल नहीं
इस बिमारी के लिए तो चारागर है ही नहीं

जिनका होना या न होना एक जैसी बात है
उनकी भी है ये शिकायत के कदर है ही नहीं

उसने पूछा मेरी ख़ातिर यार को छोड़ोगे तुम
हमने दे दी मुंह पर गाली के सबर है ही नहीं

इतने गुंडे हमने पाले यार इस दिन के लिये
हमसफ़र गर हम नहीं तो रह गुज़र है ही नहीं

यार हमसे जो करा ले उनको हक हमने दिया
यारियाँ वो है जहाँ लेकिन मगर है ही नहीं

आपका अहसान ठहरा आप पे भी मुझ पे भी
आप मेरे हो चुके मुझको ख़बर है ही नहीं

  - Gagan Bajad 'Aafat'

Gham Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Gagan Bajad 'Aafat'

As you were reading Shayari by Gagan Bajad 'Aafat'

Similar Writers

our suggestion based on Gagan Bajad 'Aafat'

Similar Moods

As you were reading Gham Shayari Shayari