zara izhaar ki keemat zara israar ki keemat
chukaaye ja rahe hain ham dil-e-beemaar ki keemat
tujhi ko jeet jaane mein khudi ko haar baithe hain
hamaari jeet hi to hai hamaari haar ki keemat
nibhaane ko hue raazi muhabbat teri sharton par
magar ab jaan le legi tumhaare pyaar ki keemat
kahaani se chale jaana mujhe lagta munaasib hai
fasana maar daalegi mere kirdaar ki keemat
ana se arz karte ho zehn ko marz karte ho
chukaaye jaaoge kab tak yahi bekar ki keemat
khilone bechne basta bhulaakar roz aata hai
usi bacche se samjhenge bhare bazaar ki keemat
use khush rakh liya hai par khudi ko bhool aaye hain
chukaai yun gayi kashti se hi patwaar ki keemat
kabhi insaan koi khud se to jud bhi na paayega
hamesha aadhe aayegi kisi avtaar ki keemat
teri baahon ki raanaai se ham ukta bhi sakte hain
chuka na paoge tum roz ki takraar ki keemat
kisi beemaar ke izhaar ko azaar mat karna
kachhari aur sadme hai galat dildaar ki keemat
suno tum kuchh saleeke se samay par daad bhi de do
hamein itni si hai darkaar in ash'aar ki keemat
ज़रा इज़हार की कीमत ज़रा इसरार की कीमत
चुकाए जा रहे हैं हम दिल-ए-बीमार की कीमत
तुझी को जीत जाने में ख़ुदी को हार बैठे हैं
हमारी जीत ही तो है हमारी हार की कीमत
निभाने को हुए राज़ी मुहब्बत तेरी शर्तों पर
मगर अब जान ले लेगी तुम्हारे प्यार की कीमत
कहानी से चले जाना मुझे लगता मुनासिब है
फ़साना मार डालेगी मेरे किरदार की कीमत
अना से अर्ज़ करते हो ज़हन को मर्ज़ करते हो
चुकाए जाओगे कब तक यही बेकार की कीमत
खिलौने बेचने बस्ता भुलाकर रोज़ आता है
उसी बच्चे से समझेंगे भरे बाज़ार की कीमत
उसे ख़ुश रख लिया है पर ख़ुदी को भूल आये हैं
चुकाई यूँ गयी कश्ती से ही पतवार की कीमत
कभी इंसान कोई ख़ुद से तो जुड़ भी न पाएगा
हमेशा आड़े आएगी किसी अवतार की कीमत
तेरी बाहों की रानाई से हम उकता भी सकते हैं
चुका ना पाओगे तुम रोज़ की तकरार की कीमत
किसी बीमार के इज़हार को आज़ार मत करना
कचहरी और सदमे है ग़लत दिलदार की कीमत
सुनो तुम कुछ सलीके से समय पर दाद भी दे दो
हमें इतनी सी है दरकार इन अश'आर की कीमत
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Gagan Bajad 'Aafat'
our suggestion based on Gagan Bajad 'Aafat'
As you were reading Love Shayari Shayari