bade naadaan hai nazrein idhar kar bhool jaate hain
to ham bhi saada dil thehre sanwar kar bhool jaate hain
ajee ham deen-o-duniya ghar wafa sab se pareshaan hain
to kiske naam se roye bifar kar bhool jaate hain
wafa karke wafa maange use ye bhi sahoolat hai
hamaara kaam hai ham kaam kar kar bhool jaate hain
ye mat poocho ki kab sudhrenge ham tumko khabar hai na
sudharte hain musalsal ham sudhar kar bhool jaate hain
bade majnu badi leila umar ko jaante to hai
hain aisa bhi ki baalon ko color kar bhool jaate hain
tumhaare saath mein jeena hua mar mar ke gar jeena
to samjho bojh ko sab dar-guzar kar bhool jaate hain
kaheinge sab bhala mujhko ajee hai der marne ki
sabhi yaaro ko zinda hai khabar kar bhool jaate hai
sabhi jannat se aaye hain jahaan jannat banaane ko
magar aafat hai ye saare utar kar bhool jaate hain
बड़े नादान है नज़रें इधर कर भूल जाते हैं
तो हम भी सादा दिल ठहरे सँवर कर भूल जाते हैं
अजी हम दीन-ओ-दुनिया, घर, वफ़ा सब से परेशाँ हैं
तो किसके नाम से रोए बिफर कर भूल जाते हैं
वफ़ा करके वफ़ा मांगें उसे ये भी सहूलत है
हमारा काम है हम काम कर कर भूल जाते हैं
ये मत पूछो कि कब सुधरेंगे हम तुमको ख़बर है ना
सुधरते हैं मुसलसल हम सुधर कर भूल जाते हैं
बड़े मजनू बड़ी लैला उमर को जानते तो है
हैं ऐसा भी कि बालों को कलर कर भूल जाते हैं
तुम्हारे साथ में जीना हुआ मर मर के गर जीना
तो समझो बोझ को सब दर-गुज़र कर भूल जाते हैं
कहेंगे सब भला मुझको अजी है देर मरने की
सभी यारो को ज़िंदा है ख़बर कर भूल जाते है
सभी जन्नत से आए हैं जहाँ जन्नत बनाने को
मगर 'आफ़त' है ये सारे उतर कर भूल जाते हैं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Gagan Bajad 'Aafat'
our suggestion based on Gagan Bajad 'Aafat'
As you were reading Udasi Shayari Shayari