yun zindagi ke liye be-qaraar hain ham log | यूँ ज़िंदगी के लिए बे-क़रार हैं हम लोग

  - Ganesh Gaikwad Aaghaz

yun zindagi ke liye be-qaraar hain ham log
shikaayaton ke liye sharmasaar hain ham log

abhi kisi ki nazar se rihaa hue hain ham
abhi kisi ki nazar mein firaar hain ham log

chhupa rahe hain ghamon ko yun muskuraa kar ham
nayi sadi ke naye ishtehaar hain ham log

shumaar yun to hamaara kahi nahin lekin
sabhi ye kahte hain ki be-shumaar hain ham log

bikhar rahe hain abhi ham sanwar rahe hain abhi
kabhi hain khush to kabhi sogwaar hain ham log

chuka rahe hain abhi qist-e-aarzoo ko ham
yun hasraton ke abhi qarz-daar hain ham log

mahak rahi hain fazaayein abhi paseene se
nayi umeed ki fasl-e-bahaar hain ham log

यूँ ज़िंदगी के लिए बे-क़रार हैं हम लोग
शिकायतों के लिए शर्मसार हैं हम लोग

अभी किसी की नज़र से रिहा हुए हैं हम
अभी किसी की नज़र में फ़रार हैं हम लोग

छुपा रहे हैं ग़मों को यूँ मुस्कुरा कर हम
नई सदी के नए इश्तिहार हैं हम लोग

शुमार यूँ तो हमारा कहीं नहीं लेकिन
सभी ये कहते हैं कि बे-शुमार हैं हम लोग

बिखर रहे हैं अभी हम सँवर रहे हैं अभी
कभी हैं ख़ुश तो कभी सोगवार हैं हम लोग

चुका रहे हैं अभी क़िस्त-ए-आरज़ू को हम
यूँ हसरतों के अभी क़र्ज़-दार हैं हम लोग

महक रही हैं फ़ज़ाएँ अभी पसीने से
नई उमीद की फ़स्ल-ए-बहार हैं हम लोग

  - Ganesh Gaikwad Aaghaz

Khushboo Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ganesh Gaikwad Aaghaz

As you were reading Shayari by Ganesh Gaikwad Aaghaz

Similar Writers

our suggestion based on Ganesh Gaikwad Aaghaz

Similar Moods

As you were reading Khushboo Shayari Shayari