bujhi bujhi si nazar mein qaraar kis ka hai | बुझी बुझी सी नज़र में क़रार किस का है

  - Ganesh Gaikwad Aaghaz

bujhi bujhi si nazar mein qaraar kis ka hai
hamein bata do tumhein intizaar kis ka hai

bahut aziz hain tum ko magar zara socho
vo jaan-e-man hai to jaan-e-bahaar kis ka hai

suna hai ham ne vo dushman hamein samajhta hai
agar ye sach hai to yaaro vo yaar kis ka hai

vo har kisi ko hi shak ki nazar se takta hai
pata karo ki use e'tibaar kis ka hai

abhi to us ne qadam hi rakha hai mehfil mein
nazar nazar mein abhi se khumaar kis ka hai

lahooluhaan sadak se chalo zara poochen
kate saroon mein abhi tak shumaar kis ka hai

jale gharo mein bhi ham to sahi salaamat the
batao ham pe abhi ikhtiyaar kis ka hai

hamein pata hai zamaana tumhaara hai lekin
tumhein pata hai vo parvardigaar kis ka hai

बुझी बुझी सी नज़र में क़रार किस का है
हमें बता दो तुम्हें इंतिज़ार किस का है

बहुत अज़ीज़ हैं तुम को मगर ज़रा सोचो
वो जान-ए-मन है तो जान-ए-बहार किस का है

सुना है हम ने वो दुश्मन हमें समझता है
अगर ये सच है तो यारो वो यार किस का है

वो हर किसी को ही शक की नज़र से तकता है
पता करो कि उसे ए'तिबार किस का है

अभी तो उस ने क़दम ही रखा है महफ़िल में
नज़र नज़र में अभी से ख़ुमार किस का है

लहूलुहान सड़क से चलो ज़रा पूछें
कटे सरों में अभी तक शुमार किस का है

जले घरों में भी हम तो सही सलामत थे
बताओ हम पे अभी इख़्तियार किस का है

हमें पता है ज़माना तुम्हारा है लेकिन
तुम्हें पता है वो परवरदिगार किस का है

  - Ganesh Gaikwad Aaghaz

Sach Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ganesh Gaikwad Aaghaz

As you were reading Shayari by Ganesh Gaikwad Aaghaz

Similar Writers

our suggestion based on Ganesh Gaikwad Aaghaz

Similar Moods

As you were reading Sach Shayari Shayari