toote hue paron se parvaaz kar rahe hain
ham phir naye safar ka aaghaaz kar rahe hain
sach bolne lage hain jab se zabaan mili hai
har shakhs ka yahan ham e'zaaz kar rahe hain
aaina padh liya hai is baar ham sabhi ne
khaamosh the jo kal tak awaaz kar rahe hain
bezaar ho raha hai jis dard se zamaana
us dard ko ham apna dam-saaz kar rahe hain
muskaan ke liye bhi majboor ho gaye ham
kis baat par na jaane phir naaz kar rahe hain
badnaam kar diya hai kuchh doston ne jab se
ham dushmanon ko apna hamraaz kar rahe hain
टूटे हुए परों से परवाज़ कर रहे हैं
हम फिर नए सफ़र का आग़ाज़ कर रहे हैं
सच बोलने लगे हैं जब से ज़बाँ मिली है
हर शख़्स का यहाँ हम ए'ज़ाज़ कर रहे हैं
आईना पढ़ लिया है इस बार हम सभी ने
ख़ामोश थे जो कल तक आवाज़ कर रहे हैं
बेज़ार हो रहा है जिस दर्द से ज़माना
उस दर्द को हम अपना दम-साज़ कर रहे हैं
मुस्कान के लिए भी मजबूर हो गए हम
किस बात पर न जाने फिर नाज़ कर रहे हैं
बदनाम कर दिया है कुछ दोस्तों ने जब से
हम दुश्मनों को अपना हमराज़ कर रहे हैं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ganesh Gaikwad Aaghaz
our suggestion based on Ganesh Gaikwad Aaghaz
As you were reading Dard Shayari Shayari