maila tan to dhoya jaaye maile man ko dhoye kaun | मैला तन तो धोया जाए मैले मन को धोए कौन

  - Ganesh Gaikwad Aaghaz

maila tan to dhoya jaaye maile man ko dhoye kaun
hansta hai jo sab ke dukh mein us ke dukh mein roye kaun

yaadein us ki baatein us ki us ke hi ab charche hain
vaasta hai jo us ke dil mein us ke dil mein hoye kaun

narm mulaayem hai bistar par neend zara bhi aaye na
patthar ko sirhaane le kar gahri neend ye soye kaun

sab mujh ko apne lagte hain sab mujh ko achhe lagte
main bhi sochun meri neend mein aise sapne boye kaun

apna apna bojh saroon par saare le kar chalte hain
dard jahaan ke apne sar par lekin auron dhoye kaun

मैला तन तो धोया जाए मैले मन को धोए कौन
हँसता है जो सब के दुख में उस के दुख में रोए कौन

यादें उस की बातें उस की उस के ही अब चर्चे हैं
वास्ता है जो उस के दिल में उस के दिल में होए कौन

नर्म मुलाएम है बिस्तर पर नींद ज़रा भी आए न
पत्थर को सिरहाने ले कर गहरी नींद ये सोए कौन

सब मुझ को अपने लगते हैं सब मुझ को अच्छे लगते
मैं भी सोचूँ मेरी नींद में ऐसे सपने बोए कौन

अपना अपना बोझ सरों पर सारे ले कर चलते हैं
दर्द जहाँ के अपने सर पर लेकिन औरों ढोए कौन

  - Ganesh Gaikwad Aaghaz

Nazakat Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ganesh Gaikwad Aaghaz

As you were reading Shayari by Ganesh Gaikwad Aaghaz

Similar Writers

our suggestion based on Ganesh Gaikwad Aaghaz

Similar Moods

As you were reading Nazakat Shayari Shayari